liye hue dil-e-pur-nam udas rahta hai
liye hue dil-e-pur-nam udaas rahtā hai
tumhāre baa'd ye 'ālam udaas rahtā hai
hañsī utaar ke dekhā to ham ne ye paayā
nazar jo aatā hai ḳhurram udaas rahtā hai
ka.ī dinoñ se tirī yaad bhī nahīñ aa.ī
ka.ī dinoñ se mirā ġham udaas rahtā hai
koī batā.e use us ke ruuTh jaane se
hamāre shahr kā mausam udaas rahtā hai
mire ḳhudā maraz-e-'ishq to nahīñ us ko
vo ek laḌkā jo har dam udaas rahtā hai
tumheñ ga.e to zamāne hue magar ab tak
ilāhabād kā sangam udaas rahtā hai
use batāo ki tauhīn-e-hijr hai ye bhī
vo hijr meñ bhī bahut kam udaas rahtā hai
kabhī kabhī hī sahī muskurā to lete haiñ ham
magar vo shaḳhs to har dam udaas rahtā hai
chalā gayā thā tumheñ chhoḌ ke jo pichhle baras
'asad' tumhārā vo hamdam udaas rahtā hai
liye hue dil-e-pur-nam udas rahta hai
tumhaare ba'd ye 'alam udas rahta hai
hansi utar ke dekha to hum ne ye paya
nazar jo aata hai KHurram udas rahta hai
kai dinon se teri yaad bhi nahin aai
kai dinon se mera gham udas rahta hai
koi batae use us ke ruTh jaane se
hamare shahr ka mausam udas rahta hai
mere KHuda maraz-e-'ishq to nahin us ko
wo ek laDka jo har dam udas rahta hai
tumhein gae to zamane hue magar ab tak
ilahabaad ka sangam udas rahta hai
use batao ki tauhin-e-hijr hai ye bhi
wo hijr mein bhi bahut kam udas rahta hai
kabhi kabhi hi sahi muskura to lete hain hum
magar wo shaKHs to har dam udas rahta hai
chala gaya tha tumhein chhoD ke jo pichhle baras
'asad' tumhaara wo hamdam udas rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.