Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lo aaj samundar ke kinare pe khaDa hun

Zia Fatehabadi

lo aaj samundar ke kinare pe khaDa hun

Zia Fatehabadi

MORE BYZia Fatehabadi

    lo aaj samundar ke kināre pe khaḌā huuñ

    ġharqāb safīnoñ ke sisakne sadā huuñ

    ik ḳhāk-ba-sar barg huuñ Tahnī se judā huuñ

    joḌegā mujhe kaun ki maiñ TuuT gayā huuñ

    ab bhī mujhe apnā.e na duniyā to karūñ kyā

    māhaul se paimān-e-vafā bāñdh rahā huuñ

    mustaqbil-e-but-ḳhāna hāfiz hai ḳhudā

    har but ko ye da.avā hai ki ab maiñ ḳhudā huuñ

    afkār-e-do-ālam na jhiñjhoḌeñ mujhe is vaqt

    apne ḳhayālāt daldal meñ phañsā huuñ

    manzil to irfān nahīñ itnī ḳhabar hai

    jis samt se aayā thā usī samt chalā huuñ

    muddat huī guzrā thā idhar se mirā saaya

    kab se yūñhī fōtpath pe ḳhāmosh paḌā huuñ

    huuñ aap bas mujh ko hai itnā ġhanīmat

    is se koī matlab nahīñ achchhā ki burā huuñ

    pahnāo mire paañv meñ zanjīr-e-bū-e-gul

    āvāra chaman meñ sifat-e-bād-e-sabā huuñ

    chheḌo na mujhe jān-e-'ziyā' fasl-e-junūñ meñ

    kyā maiñ bhī koī naġhma-e-andoh-rubā huuñ

    lo aaj samundar ke kinare pe khaDa hun

    gharqab safinon ke sisakne ki sada hun

    ek KHak-ba-sar barg hun Tahni se juda hun

    joDega mujhe kaun ki main TuT gaya hun

    ab bhi mujhe apnae na duniya to karun kya

    mahaul se paiman-e-wafa bandh raha hun

    mustaqbil-e-but-KHana ka hafiz hai KHuda hi

    har but ko ye dawa hai ki ab main hi KHuda hun

    afkar-e-do-alam na jhinjhoDen mujhe is waqt

    apne hi KHayalat ki daldal mein phansa hun

    manzil ka to irfan nahin itni KHabar hai

    jis samt se aaya tha usi samt chala hun

    muddat hui guzra tha idhar se mera saya

    kab se yunhi footpath pe KHamosh paDa hun

    hun aap ka bas mujh ko hai itna hi ghanimat

    is se koi matlab nahin achchha ki bura hun

    pahnao mere panw mein zanjir-e-bu-e-gul

    aawara chaman mein sifat-e-baad-e-saba hun

    chheDo na mujhe jaan-e-'ziya' fasl-e-junun mein

    kya main bhi koi naghma-e-andoh-ruba hun

    Source:

    Karwaan-e-Ghazal (Pg. 302)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2004
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now