log giton ka nagar yaad aaya
log gītoñ kā nagar yaad aayā
aaj pardes meñ ghar yaad aayā
jab chale aa.e chaman-zār se ham
iltifāt-e-gul-e-tar yaad aayā
terī begāna-nigāhī sar-e-shām
ye sitam tā-ba-sahar yaad aayā
ham zamāne kā sitam bhuul ga.e
jab tirā lutf-e-nazar yaad aayā
to bhī masrūr thā is shab sar-e-bazm
apne sheroñ kā asar yaad aayā
phir huā dard-e-tamannā bedār
phir dil-e-ḳhāk-basar yaad aayā
ham jise bhuul chuke the 'jālib'
phir vahī rāhguzar yaad aayā
log giton ka nagar yaad aaya
aaj pardes mein ghar yaad aaya
jab chale aae chaman-zar se hum
iltifat-e-gul-e-tar yaad aaya
teri begana-nigahi sar-e-sham
ye sitam ta-ba-sahar yaad aaya
hum zamane ka sitam bhul gae
jab tera lutf-e-nazar yaad aaya
to bhi masrur tha is shab sar-e-bazm
apne sheron ka asar yaad aaya
phir hua dard-e-tamanna bedar
phir dil-e-KHak-basar yaad aaya
hum jise bhul chuke the 'jalib'
phir wahi rahguzar yaad aaya
- Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 30)
- Author : Habib Jalib
- Publication : Tahir Sons Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.