Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

log jo gardish-e-ayyam se Dar jate hain

Mohsin Sahil

log jo gardish-e-ayyam se Dar jate hain

Mohsin Sahil

MORE BYMohsin Sahil

    log jo gardish-e-ayyām se Dar jaate haiñ

    maut se pahle samjho ki vo mar jaate haiñ

    ye jo kuchh log ki tūfāñ se Darāte haiñ hameñ

    sarsarāhaT se ye pattoñ bhī Dar jaate haiñ

    jis ko dekho vo harāsāñ hai yahāñ apnoñ se

    shukr hai shaam ko sab apne ghar jaate haiñ

    ab ke karnā hai hameñ tark-e-ta.alluq meñ pahal

    ham ye kahte haiñ faqat aap to kar jaate haiñ

    ik tirā ġham thā jise ham ne sañbhālā har dam

    varna tūfān se tinke to bikhar jaate haiñ

    un da.avā hai ki sūraj ko kareñge tasḳhīr

    jo yahāñ shaam ke jugnūñ se bhī Dar jaate haiñ

    log jo gardish-e-ayyam se Dar jate hain

    maut se pahle hi samjho ki wo mar jate hain

    ye jo kuchh log ki tufan se Daraate hain hamein

    sarsarahaT se ye patton ki bhi Dar jate hain

    jis ko dekho wo harasan hai yahan apnon se

    shukr hai sham ko sab apne hi ghar jate hain

    ab ke karna hai hamein tark-e-talluq mein pahal

    hum ye kahte hain faqat aap to kar jate hain

    ek tera gham tha jise hum ne sanbhaala har dam

    warna tufan se tinke to bikhar jate hain

    un ka dawa hai ki suraj ko karenge tasKHir

    jo yahan sham ke jugnun se bhi Dar jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now