Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

log kitne niDar ho gae

Naveed Sarosh

log kitne niDar ho gae

Naveed Sarosh

MORE BYNaveed Sarosh

    log kitne niDar ho ga.e

    taḳhta-e-dār par so ga.e

    darmiyāñ apne vo kaun the

    biij nafrat jo bo ga.e

    raah dikhlāne vaale hameñ

    rāste meñ kahīñ kho ga.e

    phir na gulshan meñ aa.e vo gul

    TuuT kar shāḳh se jo ga.e

    jis ne dekhā hameñ pyaar se

    ham usī shaḳhs ke ho ga.e

    lamha-bhar ke liye aa.e the

    bazm ko jagmagā to ga.e

    sun ke hāl-e-'sarosh'-e-hazīñ

    aaj mahfil meñ vo ro ga.e

    log kitne niDar ho gae

    taKHta-e-dar par so gae

    darmiyan apne wo kaun the

    bij nafrat ka jo bo gae

    rah dikhlane wale hamein

    raste mein kahin kho gae

    phir na gulshan mein aae wo gul

    TuT kar shaKH se jo gae

    jis ne dekha hamein pyar se

    hum usi shaKHs ke ho gae

    lamha-bhar ke liye aae the

    bazm ko jagmaga to gae

    sun ke haal-e-'sarosh'-e-hazin

    aaj mahfil mein wo ro gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now