Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

log kyun DhunD rahe hain mujhe patthar le kar

Shamim Tariq

log kyun DhunD rahe hain mujhe patthar le kar

Shamim Tariq

MORE BYShamim Tariq

    log kyuuñ DhūñD rahe haiñ mujhe patthar le kar

    maiñ to aayā nahīñ kirdār-e-payambar le kar

    mujh ko mālūm hai mādūm huī naqd-e-vafā

    phir bhī bāzār meñ baiThā huuñ muqaddar le kar

    ruuh betāb hai chehroñ ta.assur paḌh kar

    yaanī be-ghar huā maiñ shahr meñ ik ghar le kar

    kis na.e lahje meñ ab ruuh iz.hār karūñ

    saañs bhī chaltī hai ehsās ḳhanjar le kar

    ye ġhalat hai ki maiñ pahchān gañvā baiThā huuñ

    daar tak maiñ gayā harf-e-mukarrar le kar

    mojaze ham se bhī hote haiñ payambar tarah

    ham ne mābūd tarāshe fan-e-āzar le kar

    ḳhud-kushī karne chalā huuñ mujhe roko 'tāriq'

    zaḳhm-e-ehsās meñ chubhte hue nashtar le kar

    log kyun DhunD rahe hain mujhe patthar le kar

    main to aaya nahin kirdar-e-payambar le kar

    mujh ko malum hai madum hui naqd-e-wafa

    phir bhi bazar mein baiTha hun muqaddar le kar

    ruh betab hai chehron ka tassur paDh kar

    yani be-ghar hua main shahr mein ek ghar le kar

    kis nae lahje mein ab ruh ka izhaar karun

    sans bhi chalti hai ehsas ka KHanjar le kar

    ye ghalat hai ki main pahchan ganwa baiTha hun

    dar tak main hi gaya harf-e-mukarrar le kar

    mojaze hum se bhi hote hain payambar ki tarah

    hum ne mabud tarashe fan-e-azar le kar

    KHud-kushi karne chala hun mujhe roko 'tariq'

    zaKHm-e-ehsas mein chubhte hue nashtar le kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now