Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

logon ka ek hujum mere aas-pas tha

Akhtar Saeedi

logon ka ek hujum mere aas-pas tha

Akhtar Saeedi

MORE BYAkhtar Saeedi

    logoñ ik hujūm mire ās-pās thā

    jab maiñ safīr-e-gulshan-e-hosh-o-havās thā

    tajvīz thī jis ne mohabbat mire liye

    shāyad vo shaḳhs koī sitāra-shanās thā

    jab tak charāġh-e-ālam-e-imkāñ jale rahe

    raushan kitāb-e-ishq har iqtibās thā

    jab tak vo ek zaat sharīk-e-safar na thī

    merā vajūd mere liye be-asās thā

    rahte the duur duur mire ham-ḳhayāl bhī

    jab tak mire badan pe anā libās thā

    jab tak mire lahū meñ harārat vafā thī

    maiñ be-niyāz-e-shiddat-e-ḳhauf-o-hirās thā

    kal shab hujūm-e-dil-zadagāñ meñ tire liye

    auroñ tarah maiñ bhī sarāpā sipās thā

    logon ka ek hujum mere aas-pas tha

    jab main safir-e-gulshan-e-hosh-o-hawas tha

    tajwiz ki thi jis ne mohabbat mere liye

    shayad wo shaKHs koi sitara-shanas tha

    jab tak charagh-e-alam-e-imkan jale rahe

    raushan kitab-e-ishq ka har iqtibas tha

    jab tak wo ek zat sharik-e-safar na thi

    mera wajud mere liye be-asas tha

    rahte the dur dur mere ham-KHayal bhi

    jab tak mere badan pe ana ka libas tha

    jab tak mere lahu mein hararat wafa ki thi

    main be-niyaz-e-shiddat-e-KHauf-o-hiras tha

    kal shab hujum-e-dil-zadagan mein tere liye

    auron ki tarah main bhi sarapa sipas tha

    Source:

    Charagh Jalne Tak (Pg. 82)

    • Author: Akhtar Saeedi
      • Publisher: Nadeem Publications, Karachi
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now