Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

logon se dur saikDon logon ke sath hun

Mushtaq Shad

logon se dur saikDon logon ke sath hun

Mushtaq Shad

MORE BYMushtaq Shad

    logoñ se duur saikḌoñ logoñ ke saath huuñ

    maiñ mauj tarah ka.ī maujoñ ke saath huuñ

    tanhā bhī huuñ saḌak pe kisī poll tarah

    aur munsalik bhī dūsre poloñ ke saath huuñ

    tum ko to chhāñv koī ghanī chhāñv chāhiye

    maiñ aaj bhī jale hue peḌoñ ke saath huuñ

    bas ik qadam uThā to vahīñ TuuT jā.ūñgā

    misl-e-habāb paañv ke chhāloñ ke saath huuñ

    zindoñ ke darmiyān bhī lagtā hai yuuñ mujhe

    maiñ jaise sard-ḳhāne lāshoñ ke saath huuñ

    yuuñ ḳhushbueñ bahār bachchoñ ne diiñ mujhe

    go ḳhaar huuñ pa lagtā hai phūloñ ke saath huuñ

    un āñsuoñ ke saath nahīñ huuñ jo bah ga.e

    jo dil meñ ruk ga.e haiñ un ashkoñ ke saath huuñ

    logon se dur saikDon logon ke sath hun

    main mauj ki tarah kai maujon ke sath hun

    tanha bhi hun saDak pe kisi poll ki tarah

    aur munsalik bhi dusre polon ke sath hun

    tum ko to chhanw koi ghani chhanw chahiye

    main aaj bhi jale hue peDon ke sath hun

    bas ek qadam uTha to wahin TuT jaunga

    misl-e-habab panw ke chhaalon ke sath hun

    zindon ke darmiyan bhi lagta hai yun mujhe

    main jaise sard-KHane ki lashon ke sath hun

    yun KHushbuen bahaar ki bachchon ne din mujhe

    go KHar hun pa lagta hai phulon ke sath hun

    un aansuon ke sath nahin hun jo bah gae

    jo dil mein ruk gae hain un ashkon ke sath hun

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 676)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now