Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lunj wo pa-e-talab hun kahin ja hi na sakun

Shad Lakhnavi

lunj wo pa-e-talab hun kahin ja hi na sakun

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    lunj vo pā-e-talab huuñ kahīñ na sakūñ

    shal ye ho dast-e-havas haath baḌhā na sakūñ

    zid ye us ko hai jo royā maiñ bhī chhup kar jā.ūñ

    khol aañkh nazar ḳhvāb meñ aa na sakūñ

    dekh kar husn butoñ jo ḳhudā se phir jaa.e

    dil-e-gumrāh ko phir raah pe na sakūñ

    madad ai dast-e-junūñ pairahan-e-gul tarah

    ye phaTe jāma-e-aslī ki silā na sakūñ

    ilāhī shab-e-vaslat jo kahe jaane ko

    paañv so jaa.eñ ye us ke ki jagā na sakūñ

    maiñ vo ġham-ḳhvār huuñ ġham aañkh putlī tirī

    dāna-e-ḳhāl nahīñ hai ki jo khā na sakūñ

    husn-e-mahfil hai to hone do usī ḳhalvat meñ

    band quliyān nahīñ haiñ jo bulā na sakūñ

    sifat saaya vo ik jān-e-do-qālib huuñ maiñ

    duur ho laakh kabhī paas se na sakūñ

    nazar uftāda vo huuñ ashk-e-chakīda tarah

    girūñ āñkhoñ se to nazroñ meñ samā na sakūñ

    ai kamāñ-dār jo mujh ko bulā.e sau baar

    tīr-e-jasta maiñ nahīñ huuñ ki phir aa na sakūñ

    ai sanam jo na maan.e ho tirī mahfil se

    ġhair kyā naaz tirā hai ki uThā na sakūñ

    na sahī vasf-e-dahan baal to suljhāne do

    zulf kuchh baat nahīñ hai jo banā na sakūñ

    khā.ūñ saugand pe sahvan qasam ai but tirī

    qasmiya bhī jo maiñ khā.ūñ kabhī khā na sakūñ

    ta.ana-e-ġhair se ai zo.af jo baiThe dil-e-zār

    baat vo bār-e-garāñ ho ki uThā na sakūñ

    kyā tamāshā hai ki nazroñ meñ hai lekin ai 'shād'

    qurb-e-shah-rag maiñ jo DhūñDūñ use na sakūñ

    lunj wo pa-e-talab hun kahin ja hi na sakun

    shal ye ho dast-e-hawas hath baDha hi na sakun

    zid ye us ko hai jo roya main bhi chhup kar jaun

    khol di aankh nazar KHwab mein aa hi na sakun

    dekh kar husn buton ka jo KHuda se phir jae

    dil-e-gumrah ko phir rah pe la hi na sakun

    madad ai dast-e-junun pairahan-e-gul ki tarah

    ye phaTe jama-e-asli ki sila hi na sakun

    ya ilahi shab-e-waslat jo kahe jaane ko

    panw so jaen ye us ke ki jaga hi na sakun

    main wo gham-KHwar hun gham aankh ki putli ka teri

    dana-e-KHal nahin hai ki jo kha hi na sakun

    husn-e-mahfil hai to hone do usi KHalwat mein

    band quliyan nahin hain jo bula hi na sakun

    sifat saya wo ek jaan-e-do-qalib hun main

    dur ho lakh kabhi pas se ja hi na sakun

    nazar uftada wo hun ashk-e-chakida ki tarah

    girun aankhon se to nazron mein sama hi na sakun

    ai kaman-dar jo tu mujh ko bulae sau bar

    tir-e-jasta main nahin hun ki phir aa hi na sakun

    ai sanam jo tu na mane ho teri mahfil se

    ghair kya naz tera hai ki uTha hi na sakun

    na sahi wasf-e-dahan baal to suljhane do

    zulf kuchh baat nahin hai jo bana hi na sakun

    khaun saugand pe sahwan qasam ai but teri

    qasmiya bhi jo main khaun kabhi kha hi na sakun

    tana-e-ghair se ai zoaf jo baiThe dil-e-zar

    baat wo bar-e-garan ho ki uTha hi na sakun

    kya tamasha hai ki nazron mein hai lekin ai 'shad'

    qurb-e-shah-rag main jo DhunDun use pa hi na sakun

    Source:

    Sukhan-e-Bemisal: Deewan-e-Shad (pdf) and website (Pg. p-75 e-81 pdf-82)

    • Author: Shad Lakhnavi
      • Edition: 1901
      • Publisher: Matbaa Tasweer-e- Alam, Lucknow
      • Year of Publication: 1901
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now