Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

luT gaya ghar to hai ab subh kahin sham kahin

Khalilur Rahman Azmi

luT gaya ghar to hai ab subh kahin sham kahin

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    luT gayā ghar to hai ab sub.h kahīñ shaam kahīñ

    dekhiye ab hameñ miltā bhī hai ārām kahīñ

    kahīñ aisā na ho fitna koī barpā ho jaa.e

    ab kabhī bhuul ke liije na mirā naam kahīñ

    ham sitam-ḳhurda haiñ kuchh duur haT kar rahiye

    dekhiye aap pe aa jaa.e na ilzām kahīñ

    jab paḌā ġham to badaltī nahīñ ye duniyā

    ke ab baiTh rahī gardish-e-ayyām kahīñ

    mere ahbāb ke iḳhlās parda rah jaa.e

    mujh ko pahle Dubo de dil-e-nākām kahīñ

    koh-o-sahrā taraf chal to paḌe haiñ vahshī

    phir unheñ rok na leñ tere dar-o-bām kahīñ

    mai-kada chhoḌ ke ham rind bahut pachhtā.e

    ham pe sajtā nahīñ jāma-e-ehrām kahīñ

    luT gaya ghar to hai ab subh kahin sham kahin

    dekhiye ab hamein milta bhi hai aaram kahin

    kahin aisa na ho fitna koi barpa ho jae

    ab kabhi bhul ke lije na mera nam kahin

    hum sitam-KHurda hain kuchh dur hi haT kar rahiye

    dekhiye aap pe aa jae na ilzam kahin

    jab paDa gham to badalti hi nahin ye duniya

    ja ke ab baiTh rahi gardish-e-ayyam kahin

    mere ahbab ke iKHlas ka parda rah jae

    mujh ko pahle hi Dubo de dil-e-nakaam kahin

    koh-o-sahra ki taraf chal to paDe hain wahshi

    phir unhen rok na len tere dar-o-baam kahin

    mai-kada chhoD ke hum rind bahut pachhtae

    hum pe sajta hi nahin jama-e-ehram kahin

    Source:

    Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 75)

    • Author: Khaleel-Ur-Rehman Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now