Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mah-e-kaamil ho muqabil yar ke ru se che-KHush

Wali Uzlat

mah-e-kaamil ho muqabil yar ke ru se che-KHush

Wali Uzlat

MORE BYWali Uzlat

    māh-e-kāmil ho muqābil yaar ke se che-ḳhush

    ḳham ho dam maare hilāl us teġh-e-abrū se che-ḳhush

    ik jhalak bhī yaar shoḳhī tujh meñ nahīñ ai barq

    tispe ham-sar ho to us tundi-e-ḳhū se che-ḳhush

    us jaulāñ havā se ga.ī hai barbād aur us par

    mudda.ī hai nik.hat-e-gul yaar se che-ḳhush

    aañkh meñ hirnoñ ḳhāk-afgan hai us gard-e-rāh

    tispe gardan-kash haiñ ke chashm-e-jādū se che-ḳhush

    garche sumbul hai ai 'uzlat' tīra-baḳht aur dāġh-e-rashk

    pech-o-ḳham khā kar hai sarkash ke gesū se che-ḳhush

    mah-e-kaamil ho muqabil yar ke ru se che-KHush

    KHam ho dam mare hilal us tegh-e-abru se che-KHush

    ek jhalak bhi yar ki shoKHi ki tujh mein nahin ai barq

    tispe ham-sar ho to us ki tundi-e-KHu se che-KHush

    us ki jaulan ki hawa se gai hai barbaad aur us par

    muddai hai nikhat-e-gul yar ki bu se che-KHush

    aankh mein hirnon ki KHak-afgan hai us ki gard-e-rah

    tispe gardan-kash hain pi ke chashm-e-jadu se che-KHush

    garche sumbul hai ai 'uzlat' tira-baKHt aur dagh-e-rashk

    pech-o-KHam kha kar hai sarkash pi ke gesu se che-KHush

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    mah-e-kaamil ho muqabil yar ke ru se che-KHush Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now