Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mah-ru nikle hai nit ujli tarah

Obaidullah Khan Mubtala

mah-ru nikle hai nit ujli tarah

Obaidullah Khan Mubtala

MORE BYObaidullah Khan Mubtala

    māh-rū nikle hai nit ujlī tarah

    is sabab raushan hai dil putlī tarah

    sun mirā ronā huā Tuk mehrbāñ

    yaar ne barsāt meñ badlī tarah

    ġhamza shamshīr chamkātā hai vo

    kyuuñ na ho dil muztarib bijlī tarah

    machchhī detā na.iiñ mujhe vo bahr suuñ

    chhoḌ us ne magar aglī tarah

    kyuuñ mire aage akaḌ chaltā hai aaj

    mujh ko bhūlī na.iiñ tirī pichhlī tarah

    sar-nigūñ hai sarv-qad fikr meñ

    bed ne majnūñ sab lailī tarah

    ishq ne aa kar pachhāḌā dil katīñ

    gurg niiñ aahū siiñ jañgalī tarah

    mujh divāne nazar meñ ai parī

    taash aur kamḳhāb hai kamlī tarah

    gaalī de kar muskurātā hai vo shoḳh

    'mubtalā' ab yuuñ na.ī niklī tarah

    mah-ru nikle hai nit ujli tarah

    is sabab raushan hai dil putli tarah

    sun mera rona hua Tuk mehrban

    yar ne barsat mein badli tarah

    ghamza ki shamshir chamkata hai wo

    kyun na ho dil muztarib bijli tarah

    machchhi deta nain mujhe wo bahr sun

    chhoD di us ne magar agli tarah

    kyun mere aage akaD chalta hai aaj

    mujh ko bhuli nain teri pichhli tarah

    sar-nigun hai sarw-qad ki fikr mein

    bed ne majnun ki sab laili tarah

    ishq ne aa kar pachhaDa dil katin

    gurg nin aahu sin ki jangali tarah

    mujh diwane ki nazar mein ai pari

    tash aur kamKHab hai kamli tarah

    gali de kar muskuraata hai wo shoKH

    'mubtala' ab yun nai nikli tarah

    Source:

    Dewan-e-mubtalaáEk Eham Go Shayar-Muqallid Waliâ (Pg. B-35 E-36)

      • Edition: 1996
      • Publisher: Noorul Hasan Hashmi
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now