Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mail-e-lutf hai aamada-e-be-dad bhi hai

Akhtar Muslimi

mail-e-lutf hai aamada-e-be-dad bhi hai

Akhtar Muslimi

MORE BYAkhtar Muslimi

    mā.il-e-lutf hai āmāda-e-be-dād bhī hai

    vo sarāpā-e-mohabbat sitam-ījād bhī hai

    shab-e-tanhā.ī bhī hai saath tirī yaad bhī hai

    dil kyā haal kahūñ shaad bhī nāshād bhī hai

    daulat-e-ġham se har ik gosha hai is ma.amūr

    dil duniyā mirī ābād bhī barbād bhī hai

    be-sabab to nahīñ ehsās ḳhalish mujh ko

    bhūlne vaale tire dil meñ mirī yaad bhī hai

    kyuuñ na āsāñ ho rah-e-ishq ki mere ham-rāh

    jazba-e-'qais' bhī hai himmat-e-'farhād' bhī hai

    jal gayā apnā nasheman magar afsos ye hai

    phūñkne vāloñ meñ ik barq-e-chaman-zād bhī hai

    merā vijdān muharrik hai mire naġhmoñ

    tab-e-mauzūñ mirī pāband bhī āzād bhī hai

    kyā batā.ūñ maiñ tumheñ kyā hai navā-e-'aḳhtar'

    naġhme naġhma hai fariyād fariyād bhī hai

    mail-e-lutf hai aamada-e-be-dad bhi hai

    wo sarapa-e-mohabbat sitam-ijad bhi hai

    shab-e-tanhai bhi hai sath teri yaad bhi hai

    dil ka kya haal kahun shad bhi nashad bhi hai

    daulat-e-gham se har ek gosha hai is ka mamur

    dil ki duniya meri aabaad bhi barbaad bhi hai

    be-sabab to nahin ehsas KHalish ka mujh ko

    bhulne wale tere dil mein meri yaad bhi hai

    kyun na aasan ho rah-e-ishq ki mere ham-rah

    jazba-e-'qais' bhi hai himmat-e-'farhad' bhi hai

    jal gaya apna nasheman magar afsos ye hai

    phunkne walon mein ek barq-e-chaman-zad bhi hai

    mera wijdan muharrik hai mere naghmon ka

    tab-e-mauzun meri paband bhi aazad bhi hai

    kya bataun main tumhein kya hai nawa-e-'aKHtar'

    naghme ka naghma hai fariyaad ki fariyaad bhi hai

    Source:

    Kulliyat-e-Akhtar Muslimi (Pg. 220)

    • Author: Faheem Ahmad
      • Edition: 2013
      • Publisher: Danish Frahi, Ramlila Maidan, Saraye Meer, Azamgrah, U.P.
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now