Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

majra ulfat ka teri aur hum likkhenge kya

Yaseen Barari

majra ulfat ka teri aur hum likkhenge kya

Yaseen Barari

MORE BYYaseen Barari

    mājrā ulfat terī aur ham likkheñge kyā

    pyaar tujh se ho gayā hai is ko phir bhūleñge kyā

    kaash tum ye faisla kar jaate apne pyaar

    apnī qismat aazmā kar bazm meñ dekheñge kyā

    ārzūeñ saarī bar ā.eñgī kaise sochiye

    ye savāl apne qalb-o-jāñ se ham pūchheñge kyā

    us aanā hai yaqīnan vo to aa.egī magar

    maut āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar dekheñge kyā

    rizq dene vaalā to ham ko nazar aatā nahīñ

    jo muqaddar ho chukā hai us se aur pā.eñge kyā

    haq-parastī aur sadāqat sabaq ham ne diyā

    duniyā vāloñ se bhalā 'yāsīn' ham sīkheñge kyā

    majra ulfat ka teri aur hum likkhenge kya

    pyar tujh se ho gaya hai is ko phir bhulenge kya

    kash tum ye faisla kar jate apne pyar ka

    apni qismat aazma kar bazm mein dekhenge kya

    aarzuen sari bar aaengi kaise sochiye

    ye sawal apne hi qalb-o-jaan se hum puchhenge kya

    us ka aana hai yaqinan wo to aaegi magar

    maut ki aankhon mein aankhen Dal kar dekhenge kya

    rizq dene wala to hum ko nazar aata nahin

    jo muqaddar ho chuka hai us se aur paenge kya

    haq-parasti aur sadaqat ka sabaq hum ne diya

    duniya walon se bhala 'yasin' hum sikhenge kya

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 152)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now