māl-o-zar hī tirā sahārā hai
ye to phir bā’is-e-ḳhasāra hai
bah rahā hai vujūd ashkoñ meñ
'āfiyat se kahīñ guzārā hai
ham bhī ho jā.eñge fanā yā-rab
bas tire kun kā ik ishāra hai
kyoñ koī dekhe tujh ko hasrat se
tū koī āsmāñ kā taarā hai
'amn' sāhab hameñ batā.eñ bhī
tiir kis ne jigar pe maarā hai
mal-o-zar hi tera sahaara hai
ye to phir ba’is-e-KHasara hai
bah raha hai wujud ashkon mein
'afiyat se kahin guzara hai
hum bhi ho jaenge fana ya-rab
bas tere kun ka ek ishaara hai
kyon koi dekhe tujh ko hasrat se
tu koi aasman ka tara hai
'amn' sahab hamein bataen bhi
tir kis ne jigar pe mara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.