Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

malum nahin kaun si basti ke makin the

Mohammad Mustahsan Jami

malum nahin kaun si basti ke makin the

Mohammad Mustahsan Jami

MORE BYMohammad Mustahsan Jami

    ma.alūm nahīñ kaun bastī ke makīñ the

    kuchh log mirī soch se bhī baḌh ke hasīñ the

    ab mujh ko vo ik pal bhī mayassar nahīñ hote

    arbāb jo masnad pe yahīñ taḳht-nashīñ the

    ye baat ajab hai ki hamārā na huā

    kyā ham na tire ahd ke tābinda nagīñ the

    afsos use prem ik lafz nahīñ yaad

    qisse mirī chāhat ke jise zehn-nashīñ the

    ab bhuul chuke apne ḳhadd-o-ḳhāl to kyā hai

    ham log kisī daur meñ had-darja zahīñ the

    paḌhtā huuñ bahut shauq se purkhoñ ke fasāne

    muflis the magar gaañv izzat ke amiiñ the

    malum nahin kaun si basti ke makin the

    kuchh log meri soch se bhi baDh ke hasin the

    ab mujh ko wo ek pal bhi mayassar nahin hote

    arbab jo masnad pe yahin taKHt-nashin the

    ye baat ajab hai ki hamara na hua tu

    kya hum na tere ahd ke tabinda nagin the

    afsos use prem ka ek lafz nahin yaad

    qisse meri chahat ke jise zehn-nashin the

    ab bhul chuke apne KHadd-o-KHal to kya hai

    hum log kisi daur mein had-darja zahin the

    paDhta hun bahut shauq se purkhon ke fasane

    muflis the magar ganw ki izzat ke amin the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now