aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mana har shaKHs mere haq mein gawahi dega

Mohammad Amir Alvi Amir

mana har shaKHs mere haq mein gawahi dega

Mohammad Amir Alvi Amir

MORE BYMohammad Amir Alvi Amir

    maanā har shaḳhs mire haq meñ gavāhī degā

    zulm-parvar jo vo Thahrā to sazā degā

    kyā gumāñ thā mire ajdād ke raushan naamo

    ye mirā daur tumheñ baḳht-e-siyah degā

    hai ik ret muqaddar hai havā Thokar

    phir bhalā kaun tujhe pusht-panāhī degā

    mere jañgal bhī vus.at ko to dekhā hotā

    ik diyā kyā mujhe anjām batā degā

    maiñ to rūThā ki manāte hue dekhūñ us ko

    kyā ḳhabar thī ki sitamgar vo bhulā degā

    vaqt badlā to usī haath meñ hogā ḳhanjar

    ye na soch jab bhī uThegā to duā degā

    nā-ḳhudāoñ pe bharosa na Dubo de 'āmir'

    qurb-e-sāhil jo tujhe degā ḳhudā degā

    mana har shaKHs mere haq mein gawahi dega

    zulm-parwar jo wo Thahra to saza hi dega

    kya guman tha mere ajdad ke raushan namo

    ye mera daur tumhein baKHt-e-siyah hi dega

    tu hai ek ret muqaddar hai hawa ki Thokar

    phir bhala kaun tujhe pusht-panahi dega

    mere jangal ki bhi wusat ko to dekha hota

    ek diya kya mujhe anjam bata hi dega

    main to ruTha ki manate hue dekhun us ko

    kya KHabar thi ki sitamgar wo bhula hi dega

    waqt badla to usi hath mein hoga KHanjar

    ye na soch jab bhi uThega to dua hi dega

    na-KHudaon pe bharosa na Dubo de 'amir'

    qurb-e-sahil jo tujhe dega KHuda hi dega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now