mana ki ain waw hun aur hashiye mein hun
maanā ki 'ain vaav huuñ aur hāshiye meñ huuñ
maiñ terī sarguzasht ke har vāqa'e meñ huuñ
gardish hai kis tarah kī mirī is madār meñ
kyoñ ghūmtā nahīñ huuñ agar dā.ere meñ huuñ
koī safar meñ saath nahīñ hai magar mujhe
rahtā hai ye gumān kisī qāfile meñ huuñ
mere baġhair merā tamāsha na kar shurū'
kuchh intizār kar maiñ abhī rāste meñ huuñ
jis zāviye se aap ne dekhā nahīñ mujhe
maiñ aap kī nazar ke usī zāviye meñ huuñ
nuqsān ho rahā hai mirā 'ishq meñ magar
hotā hai ye gumān baḌe fā.ede meñ huuñ
'āsim' zamīn mujh ko hilātī hai bār-bār
lagtā hai mustaqil maiñ kisī zalzale meñ huuñ
mana ki 'ain waw hun aur hashiye mein hun
main teri sarguzasht ke har waqa'e mein hun
gardish hai kis tarah ki meri is madar mein
kyon ghumta nahin hun agar daere mein hun
koi safar mein sath nahin hai magar mujhe
rahta hai ye guman kisi qafile mein hun
mere baghair mera tamasha na kar shuru'
kuchh intizar kar main abhi raste mein hun
jis zawiye se aap ne dekha nahin mujhe
main aap ki nazar ke usi zawiye mein hun
nuqsan ho raha hai mera 'ishq mein magar
hota hai ye guman baDe faede mein hun
'asim' zamin mujh ko hilati hai bar-bar
lagta hai mustaqil main kisi zalzale mein hun
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 39)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.