Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mana ki mera jism ye juTha gilas hai

Vineet Aashna

mana ki mera jism ye juTha gilas hai

Vineet Aashna

MORE BYVineet Aashna

    maanā ki merā jism ye jūThā gilās hai

    lekin ye dil to aaj bhī korā gilās hai

    kitnī hai kaisī mai hai yahī baat hai baḌī

    chāñdī kāñch sahī rahtā gilās hai

    kuchh tishnagī bhī rakhnī thī jānāñ sañbhāl ke

    tum ne hifāzatoñ se jo rakkhā gilās hai

    piine lutf hai tabhī jab ye rahe na ilm

    terā gilās hai ki ye merā gilās hai

    qīmat to merī pyaas bhī kam nahīñ huzūr

    ye aur baat aap mahñgā gilās hai

    tum ko bhī is jahān aa gayā chalan

    piine ke baad tum ne bhī pheñkā gilās hai

    muñh se lagā maiñ gayā botal to shor kyoñ

    shiddat pyaas ko kahāñ miltā gilās hai

    duniyā maiñ zarūr huuñ par shaam talak

    phir us ke baad to mirī duniyā gilās hai

    mana ki mera jism ye juTha gilas hai

    lekin ye dil to aaj bhi kora gilas hai

    kitni hai kaisi mai hai yahi baat hai baDi

    chandi ya kanch ka sahi rahta gilas hai

    kuchh tishnagi bhi rakhni thi jaanan sanbhaal ke

    tum ne hifazaton se jo rakkha gilas hai

    pine ka lutf hai tabhi jab ye rahe na ilm

    tera gilas hai ki ye mera gilas hai

    qimat to meri pyas ki bhi kam nahin huzur

    ye aur baat aap ka mahnga gilas hai

    tum ko bhi is jahan ka aa hi gaya chalan

    pine ke baad tum ne bhi phenka gilas hai

    munh se laga main pi gaya botal to shor kyon

    shiddat ki pyas ko kahan milta gilas hai

    duniya ka main zarur hun par sham hi talak

    phir us ke baad to meri duniya gilas hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now