Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mana ki saKHt hoti hai tir-o-tabar ki choT

Mahmood Rampuri

mana ki saKHt hoti hai tir-o-tabar ki choT

Mahmood Rampuri

MORE BYMahmood Rampuri

    maanā ki saḳht hotī hai tīr-o-tabar choT

    lekin burī balā hai kisī nazar choT

    teġh-e-adā vaar hai tīr-e-nazar choT

    dil bachā.ūñ zarb ki rokūñ jigar choT

    baḌh kar hai zaḳhm-e-teġh se bhī zaḳhm baat

    ye chaar din choT hai vo umr bhar choT

    siine se vo mile to nazar se nazar milī

    dil bharā jo zaḳhm to ubhrī jigar choT

    ehsāñ baar sāhib-e-himmat maut hai

    merī duā qubūl kare kyoñ asar choT

    dard intihā dil meñ hai 'mahmūd' aaj tak

    khaa.ī thī ibtidā meñ kisī nazar choT

    mana ki saKHt hoti hai tir-o-tabar ki choT

    lekin buri bala hai kisi ki nazar ki choT

    tegh-e-ada ka war hai tir-e-nazar ki choT

    dil ki bachaun zarb ki rokun jigar ki choT

    baDh kar hai zaKHm-e-tegh se bhi zaKHm baat ka

    ye chaar din ki choT hai wo umr bhar ki choT

    sine se wo mile to nazar se nazar mili

    dil ka bhara jo zaKHm to ubhri jigar ki choT

    ehsan ka bar sahib-e-himmat ki maut hai

    meri dua qubul kare kyon asar ki choT

    dard intiha ka dil mein hai 'mahmud' aaj tak

    khai thi ibtida mein kisi ki nazar ki choT

    Source:

    Jazbat-e-Mahmood (Pg. 68)

    • Author: Mahmood Rampuri
      • Year of Publication: 1953
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now