Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mana maqam-e-ishrat-e-hasti buland hai

Mahirul Qadri

mana maqam-e-ishrat-e-hasti buland hai

Mahirul Qadri

MORE BYMahirul Qadri

    maanā maqām-e-ishrat-e-hastī buland hai

    maiñ dil ko kyā karūñ ki use nā-pasand hai

    tum ko hijāb mujh ko tamāsha pasand hai

    merī nazar tumhārī nazar se buland hai

    allāh re dil ishq meñ dīvāna-vāriyāñ

    adnesha-e-ziyāñ hai na ḳhauf-e-gazand hai

    āñkhoñ meñ aa chukī hai mohabbat vārdāt

    tūfān-e-be-panāh piyāloñ meñ band hai

    ab un intiḳhāb karegā ye faisla

    ulfat buland hai ki tamannā buland hai

    'māhir' azal meñ dil ne kiyā ġham intiḳhāb

    un ḳhatā nahīñ hai ye dil pasand hai

    mana maqam-e-ishrat-e-hasti buland hai

    main dil ko kya karun ki use na-pasand hai

    tum ko hijab mujh ko tamasha pasand hai

    meri nazar tumhaari nazar se buland hai

    allah re dil ki ishq mein diwana-wariyan

    adnesha-e-ziyan hai na KHauf-e-gazand hai

    aankhon mein aa chuki hai mohabbat ki wardat

    tufan-e-be-panah piyalon mein band hai

    ab un ka intiKHab karega ye faisla

    ulfat buland hai ki tamanna buland hai

    'mahir' azal mein dil ne kiya gham ka intiKHab

    un ki KHata nahin hai ye dil ki pasand hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 124)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now