aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mangi mil-jul kar jo rindon ne dua barsat ki

Shola Kararvi

mangi mil-jul kar jo rindon ne dua barsat ki

Shola Kararvi

MORE BYShola Kararvi

    Interesting Fact

    (Krishna Kunj Bagh Munshi Ram Parshad Mithi Ganj Allahabad)

    māñgī mil-jul kar jo rindoñ ne duā barsāt

    jhuum kar aa ga.ī kaalī ghaTā barsāt

    kyuuñ na huuñ kaalī ghaTā.eñ barq-zā barsāt

    aag paanī meñ lagātī hai havā barsāt

    apnī ummīdoñ khetī hai havā barsāt

    sāl-bhar tak māñgte haiñ ham duā barsāt

    rūh-parvar hai bahār-e-jāñ-fazā barsāt

    kitnī farhat-baḳhsh hai ThanDī havā barsāt

    sabza-e-ḳhvābīda jaage uThī murda zamīñ

    kar ga.ī kār-e-masīhā.ī adā barsāt

    ibtidā jān-e-ḳharīf aur intihā rūh-e-rabī

    ibtidā bhī hai vahī jo intihā barsāt

    allāh allāh gesu-e-mushkīñ-o-shab-gūñ bahār

    āsmāñ par jis tarah kaalī ghaTā barsāt

    iltihāb-o-siz-e-dil haiñ bā.is-e-sailāb-e-ashk

    hai azal ke din se garmī rahnumā barsāt

    apne miTne ke tasavvur meñ hai rotā āsmāñ

    aur haqīqat kuchh nahīñ us ke sivā barsāt

    mere ashkoñ jhaḌī se paanī paanī ho ga.ī

    ban na aa.ī aisī kuchh bigḌī havā barsāt

    apne dāman meñ liye zīnat urūs-e-nau-bahār

    oḌh kar aa.ī hai gulshan meñ ridā barsāt

    sard-o-garm-e-dahr ne khīñchā vo ḳhatt-e-etidāl

    Thiik utrī jism-e-fitrat par qabā barsāt

    ye ġhazal likkhī to hai 'sho.ala' magar az rū-e-fan

    de ga.ī charkā shikast-e-nā-ravā barsāt

    mangi mil-jul kar jo rindon ne dua barsat ki

    jhum kar aa hi gai kali ghaTa barsat ki

    kyun na hun kali ghaTaen barq-za barsat ki

    aag pani mein lagati hai hawa barsat ki

    apni ummidon ki kheti hai hawa barsat ki

    sal-bhar tak mangte hain hum dua barsat ki

    ruh-parwar hai bahaar-e-jaan-faza barsat ki

    kitni farhat-baKHsh hai ThanDi hawa barsat ki

    sabza-e-KHwabida jage ji uThi murda zamin

    kar gai kar-e-masihai ada barsat ki

    ibtida jaan-e-KHarif aur intiha ruh-e-rabi

    ibtida bhi hai wahi jo intiha barsat ki

    allah allah gesu-e-mushkin-o-shab-gun ki bahaar

    aasman par jis tarah kali ghaTa barsat ki

    iltihab-o-siz-e-dil hain bais-e-sailab-e-ashk

    hai azal ke din se garmi rahnuma barsat ki

    apne miTne ke tasawwur mein hai rota aasman

    aur haqiqat kuchh nahin us ke siwa barsat ki

    mere ashkon ki jhaDi se pani pani ho gai

    ban na aai aisi kuchh bigDi hawa barsat ki

    apne daman mein liye zinat urus-e-nau-bahaar

    oDh kar aai hai gulshan mein rida barsat ki

    sard-o-garm-e-dahr ne khincha wo KHatt-e-etidal

    Thik utri jism-e-fitrat par qaba barsat ki

    ye ghazal likkhi to hai 'shoala' magar az ru-e-fan

    de gai charka shikast-e-na-rawa barsat ki

    Source:

    Naghmah-e-Fikr (Pg. 125)

    • Author: Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
      • Edition: 1968
      • Publisher: Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now