aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mangna kaam mujh sawali ka

Nadir Shahjahanpuri

mangna kaam mujh sawali ka

Nadir Shahjahanpuri

MORE BYNadir Shahjahanpuri

    māñgnā kaam mujh savālī

    baḳhshnā terī zāt-e-ālī

    kyuuñ girāyā hai apnī nazroñ se

    hukm kar de mirī bahālī

    vo phuul hai jo hai mahbūb

    patte patte Daalī Daalī

    baat jo bhī kaho vo saaf kaho

    kaam kyā fazl-e-ehtimālī

    jal bujhūñgā bhaḌak ke dam bhar meñ

    maiñ huuñ goyā diyā divālī

    'nādir' aisā kalām hai merā

    saad hai jis pe lā-zavālī

    mangna kaam mujh sawali ka

    baKHshna teri zat-e-ali ka

    kyun giraya hai apni nazron se

    hukm kar de meri bahaali ka

    tu hi wo phul hai jo hai mahbub

    patte patte ka Dali Dali ka

    baat jo bhi kaho wo saf kaho

    kaam kya fazl-e-ehtimali ka

    jal bujhunga bhaDak ke dam bhar mein

    main hun goya diya diwali ka

    'nadir' aisa kalam hai mera

    sad hai jis pe la-zawali ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now