Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mangne se to hukumat nahin milne wali

Tanweer Gauhar

mangne se to hukumat nahin milne wali

Tanweer Gauhar

MORE BYTanweer Gauhar

    māñgne se to hukūmat nahīñ milne vaalī

    bhiik meñ ham ko ye azmat nahīñ milne vaalī

    gar yahī haal zamāne meñ ta.assub rahā

    aage nasloñ meñ mohabbat nahīñ milne vaalī

    dūsroñ bhī adab karnā zarūrī hai bahut

    talḳh lahje se to izzat nahīñ milne vaalī

    maut vaqt muayyan hai azal se is meñ

    kisī lamhe bhī mohlat nahīñ milne vaalī

    vaqt ne baḳhshī haiñ sāñseñ to kamā le nekī

    ba.ad marne ke ye daulat nahīñ milne vaalī

    zikr-e-ma.abūd taskīn sāmāñ hogā

    zikr duniyā meñ to rāhat nahīñ milne vaalī

    vo jo maañ baap izzat nahīñ karte 'gauhar'

    un se kah do unheñ jannat nahīñ milne vaalī

    mangne se to hukumat nahin milne wali

    bhik mein hum ko ye azmat nahin milne wali

    gar yahi haal zamane mein tassub ka raha

    aage naslon mein mohabbat nahin milne wali

    dusron ka bhi adab karna zaruri hai bahut

    talKH lahje se to izzat nahin milne wali

    maut ka waqt muayyan hai azal se is mein

    kisi lamhe ki bhi mohlat nahin milne wali

    waqt ne baKHshi hain sansen to kama le neki

    baad marne ke ye daulat nahin milne wali

    zikr-e-mabud hi taskin ka saman hoga

    zikr duniya mein to rahat nahin milne wali

    wo jo man bap ki izzat nahin karte 'gauhar'

    un se kah do unhen jannat nahin milne wali

    Source:

    Sulagti Barf (Pg. 138)

    • Author: Tanweer Gauhar
      • Edition: 2011
      • Publisher: Tanweer Gauhar
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now