Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mango ho abhi dil mujhe nadan samajh kar

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

mango ho abhi dil mujhe nadan samajh kar

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    māñgo ho abhī dil mujhe nādān samajh kar

    phir dūñgā javāb is mirī jaan samajh kar

    bach jā.iyoñ kambaḳht mirī baḳht-e-siyah se

    yaañ aa.iyo to ai shab-e-hijrān samajh kar

    kyā kaam mah-e-nau se mujhe maiñ use har dam

    dekhūñ huuñ tirā aks-e-garebān samajh kar

    rañg apnā huā sunte multānī miTTī

    to kiijo safar jānib-e-multān samajh kar

    nau roz hai aur sāqī-e-kausar hai ab daur

    iizā de mujhe gardish-e-daurān samajh kar

    kalkatta meñ ulfat governor hai sadā ishq

    āmāda ho rustam-e-dastān samajh kar

    major ne junūñ hai ye tayyār palTan

    haañ dekh saf-e-ḳhār-e-muġhīlān samajh kar

    jarnail to sahrā meñ haiñ aur koh meñ karnail

    hai shahr meñ chhoḌā mujhe kaptān samajh kar

    kyā mohtasib-e-shahr kad-o-bair se legā

    ham karte haiñ paimāna se paimān samajh kar

    yārab maiñ kahāñ jā.ūñ ki har dam but-e-kāfir

    iizā mujhe detā hai musalmān samajh kar

    hub bakne lagā shab ko jo vo ġhusse se mun.im

    ik rahm aayā mujhe hizyān samajh kar

    armān se armān hai armān na ne

    armān nikāle mire armān samajh kar

    dil sard hai tum se ki ba-īñ garm tapā ke

    yak shab bhī na yaañ so.e zamistān samajh kar

    myaañ bos abhī lūñgā dharī rahvegī tarvār

    gaalī na sunā sab ko yaksān samajh kar

    mango ho abhi dil mujhe nadan samajh kar

    phir dunga jawab is ka meri jaan samajh kar

    bach jaiyon kambaKHt meri baKHt-e-siyah se

    yan aaiyo to ai shab-e-hijran samajh kar

    kya kaam mah-e-nau se mujhe main use har dam

    dekhun hun tera aks-e-gareban samajh kar

    rang apna hua sunte hi multani ki miTTi

    to kijo safar jaanib-e-multan samajh kar

    nau roz hai aur saqi-e-kausar ka hai ab daur

    iza de mujhe gardish-e-dauran samajh kar

    kalkatta mein ulfat ki gowernor hai sada ishq

    aamada ho tu rustam-e-dastan samajh kar

    major ne junun ki hai ye tayyar ki palTan

    han dekh saf-e-KHar-e-mughilan samajh kar

    jarnail to sahra mein hain aur koh mein karnail

    hai shahr mein chhoDa mujhe kaptan samajh kar

    kya mohtasib-e-shahr kad-o-bair se lega

    hum karte hain paimana se paiman samajh kar

    yarab main kahan jaun ki har dam but-e-kafir

    iza mujhe deta hai musalman samajh kar

    hub bakne laga shab ko jo wo ghusse se munim

    ek rahm sa aaya mujhe hizyan samajh kar

    arman se arman hai arman na tu ne

    arman nikale mere arman samajh kar

    dil sard hai tum se ki ba-in garm tapa ke

    yak shab bhi na yan soe zamistan samajh kar

    myan bos abhi lunga dhari rahwegi tarwar

    gali na suna sab ko tu yaksan samajh kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now