Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manjhi teri kashti ke talabgar bahut hain

Umar Quraishi

manjhi teri kashti ke talabgar bahut hain

Umar Quraishi

MORE BYUmar Quraishi

    māñjhī tirī kashtī ke talabgār bahut haiñ

    kuchh log haiñ is paar to us paar bahut haiñ

    jis shahr meñ patthar dukāñ kholī hai ne

    us shahr meñ shīshe ke ḳharīdār bahut haiñ

    ab tak na banā paa.e koī tāj-mahal aur

    kahne ko to is shahr meñ me.amār bahut haiñ

    tum shor-e-anal-haq ko dabā nahīñ sakte

    ye jaan lo mansūr sar-e-dār bahut haiñ

    ḳhud apne samajhne nahīñ hai koī me.aar

    auroñ ko samajhne ke to me.aar bahut haiñ

    kuchh soch ke tum shahr rāhoñ se guzarnā

    do ek jo apne haiñ to aġhyār bahut haiñ

    kahne ko to bastī hai ye shorīda-saroñ

    dīvāne magar chand haiñ hushiyār bahut haiñ

    kyā pāoge insāf zanjīr hilā kar

    is shahr meñ qātil ke taraf-dār bahut haiñ

    hālāt sabhī ek havādis bhī sabhī ek

    ḳhabreñ bhī sabhī ek haiñ aḳhbār bahut haiñ

    maiñ ke 'umar' apnī ġhazal kis ko sunā.ūñ

    is shahr-e-suḳhan-dāñ meñ to fankār bahut haiñ

    manjhi teri kashti ke talabgar bahut hain

    kuchh log hain is par to us par bahut hain

    jis shahr mein patthar ki dukan kholi hai tu ne

    us shahr mein shishe ke KHaridar bahut hain

    ab tak na bana pae koi taj-mahal aur

    kahne ko to is shahr mein meamar bahut hain

    tum shor-e-anal-haq ko daba hi nahin sakte

    ye jaan lo mansur sar-e-dar bahut hain

    KHud apne samajhne ka nahin hai koi mear

    auron ko samajhne ke to mear bahut hain

    kuchh soch ke tum shahr ki rahon se guzarna

    do ek jo apne hain to aghyar bahut hain

    kahne ko to basti hai ye shorida-saron ki

    diwane magar chand hain hushiyar bahut hain

    kya paoge insaf ki zanjir hila kar

    is shahr mein qatil ke taraf-dar bahut hain

    haalat sabhi ek hawadis bhi sabhi ek

    KHabren bhi sabhi ek hain aKHbar bahut hain

    main ja ke 'umar' apni ghazal kis ko sunaun

    is shahr-e-suKHan-dan mein to fankar bahut hain

    Source:

    Shahr-e-Sada (Pg. 91)

    • Author: Umar Quraishi
      • Publisher: Umar Quraishi
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now