manta hun ki wo muKHatib nain
māntā huuñ ki vo muḳhātib na.iiñ
phir bhī ye ḳhāmushī to vājib na.iiñ
'ishq maz.hab nahīñ tarīqa hai
jo sabhī ke liye munāsib na.iiñ
aap se mā'zarat ke saath kahūñ
aap shā'ir haiñ koī sāhib na.iiñ
vo nazar aa nahīñ rahā hai agar
tum samajhte ho us ke qālib na.iiñ
tab koī miir bhī kahāñ thā aur ab
kyā huā hai jo koī ġhālib na.iiñ
vo sitāra hai 'sānī'-e-tanha
jo ḳhud apne liye bhī sāqib na.iiñ
manta hun ki wo muKHatib nain
phir bhi ye KHamushi to wajib nain
'ishq mazhab nahin tariqa hai
jo sabhi ke liye munasib nain
aap se ma'zarat ke sath kahun
aap sha'ir hain koi sahib nain
wo nazar aa nahin raha hai agar
tum samajhte ho us ke qalib nain
tab koi mir bhi kahan tha aur ab
kya hua hai jo koi ghaalib nain
wo sitara hai 'sani'-e-tanha
jo KHud apne liye bhi saqib nain
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 107)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.