Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mar Dalegi hamein ye KHush-bayani aap ki

Rasheed lakhnavi

mar Dalegi hamein ye KHush-bayani aap ki

Rasheed lakhnavi

MORE BYRasheed lakhnavi

    maar Dālegī hameñ ye ḳhush-bayānī aap

    maut paiġhām aa.egā zabānī aap

    zindagī kahte haiñ kis ko maut kis naam hai

    mehrbānī aap nā-mehrbānī aap

    ba.ad-e-murdan khīñch laayā jazb-e-dil siine pe haath

    ik añgūThī meñ jo pahne thā nishānī aap

    baḌh chukā qad bhī faroġh-e-husn had ho chukī

    ab to qābil dekhne ke hai javānī aap

    aap se mil ke gale rāhat se aa jaatī hai niiñd

    sabza-e-ḳhvābīda hai poshāk dhānī aap

    rañg aalam badalnā aap ke sadqe meñ hai

    jam.a kar rakkhī thiiñ poshākeñ purānī aap

    āñkhoñ par bañdhvāī paTTī na dekhūñ aur ko

    mar gayā maiñ par vahī hai bad-gumānī aap

    jab vo mujh ko dekhtā hai hañs ke kahtā hai 'rashīd'

    kitnī pāband-e-vafā hai zindagānī aap

    mar Dalegi hamein ye KHush-bayani aap ki

    maut ka paigham aaega zabani aap ki

    zindagi kahte hain kis ko maut kis ka nam hai

    mehrbani aap ki na-mehrbani aap ki

    baad-e-murdan khinch laya jazb-e-dil sine pe hath

    ek anguThi mein jo pahne tha nishani aap ki

    baDh chuka qad bhi farogh-e-husn ki had ho chuki

    ab to qabil dekhne ke hai jawani aap ki

    aap se mil ke gale rahat se aa jati hai nind

    sabza-e-KHwabida hai poshak dhani aap ki

    rang aalam ka badalna aap ke sadqe mein hai

    jama kar rakkhi thin poshaken purani aap ki

    aankhon par bandhwai paTTi ta na dekhun aur ko

    mar gaya main par wahi hai bad-gumani aap ki

    jab wo mujh ko dekhta hai hans ke kahta hai 'rashid'

    kitni paband-e-wafa hai zindagani aap ki

    Source:

    Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-119 page-107)

    • Author: Piyare Sahab Rasheed
      • Edition: 1952
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now