Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

matam-e-did hai didar ka KHwahan hona

Qalaq Merathi

matam-e-did hai didar ka KHwahan hona

Qalaq Merathi

MORE BYQalaq Merathi

    mātam-e-dīd hai dīdār ḳhvāhāñ honā

    jis qadar dekhnā utnā pashemāñ honā

    saḳht dushvār hai āsān āsāñ honā

    ḳhūn-e-fursat hai yahāñ sar-ba-garebāñ honā

    terā dīvāna to vahshat bhī had se niklā

    ki bayābāñ ko bhī chāhe hai bayābāñ honā

    kūcha-e-ġhair meñ kyuuñ kar na banā.ūñ ghar ko

    merī ābādī se ābād hai vīrāñ honā

    ḳhāk-e-vahshī se agar rabt hai Thokar ko tirī

    daur-e-dāman se nahīñ daur-e-garebāñ honā

    na vo ḳhuuñ hai jigar meñ na vo rone dimāġh

    mil gayā ḳhaak meñ har ashk tūfāñ honā

    meñ rahā harf-e-tamannā afsos

    kahnā kuchh aap aur aap pashemāñ honā

    dil se andāz-e-shikan zulf ne sab jam.a kiye

    chheḌ kar us ko kahīñ na pareshāñ honā

    tujh ko armān-e-ḳharābī hai jo ai dehlī aur

    siikh ghar meñ mire rah ke bayābāñ honā

    dil hai ik qatra-e-ḳhūñ jis pe ye siina zorī

    kuchh samajhtā nahīñ ham-saf-e-mizhgāñ honā

    mujh meñ kuchh taab ho ai jaañ to maiñ be-tāb rahūñ

    varna dushvār hai is raaz pinhāñ honā

    yād-e-mizhgāñ se idhar zaḳhm-e-jigar par khānā

    aur udhar shorish-e-dil se namak-afshāñ honā

    aaj vo vaqt 'qalaq' par hai ki juuñ ibn-e-ḳhalīl

    ġhair taslīm nahīñ qatl āsāñ honā

    matam-e-did hai didar ka KHwahan hona

    jis qadar dekhna utna hi pasheman hona

    saKHt dushwar hai aasan ka aasan hona

    KHun-e-fursat hai yahan sar-ba-gareban hona

    tera diwana to wahshat ki bhi had se nikla

    ki bayaban ko bhi chahe hai bayaban hona

    kucha-e-ghair mein kyun kar na banaun ghar ko

    meri aabaadi se aabaad hai viran hona

    KHak-e-wahshi se agar rabt hai Thokar ko teri

    daur-e-daman se nahin daur-e-gareban hona

    na wo KHun hi hai jigar mein na wo rone ka dimagh

    mil gaya KHak mein har ashk ka tufan hona

    ji ka ji hi mein raha harf-e-tamanna afsos

    kahna kuchh aap hi aur aap pasheman hona

    dil se andaz-e-shikan zulf ne sab jama kiye

    chheD kar us ko kahin tu na pareshan hona

    tujh ko arman-e-KHarabi hai jo ai dehli aur

    sikh ja ghar mein mere rah ke bayaban hona

    dil hai ek qatra-e-KHun jis pe ye sina zori

    kuchh samajhta hi nahin ham-saf-e-mizhgan hona

    mujh mein kuchh tab ho ai jaan to main be-tab rahun

    warna dushwar hai is raaz ka pinhan hona

    yaad-e-mizhgan se idhar zaKHm-e-jigar par khana

    aur udhar shorish-e-dil se namak-afshan hona

    aaj wo waqt 'qalaq' par hai ki jun ibn-e-KHalil

    ghair taslim nahin qatl ka aasan hona

    Source:

    Kulliyat-e-Qalaq (Pg. ebook-94 page-16)

    • Author: Qalaq Merathi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now