Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mathe par Tika sandal ka ab dil ke karan rahta hai

Qayyum Nazar

mathe par Tika sandal ka ab dil ke karan rahta hai

Qayyum Nazar

MORE BYQayyum Nazar

    māthe par Tiikā sandal ab dil ke kāran rahtā hai

    mandir meñ masjid bantī hai masjid meñ brahman rahtā hai

    zarre meñ sūraj aur sūraj meñ zarre raushan rahtā hai

    ab man meñ sājan rahte haiñ aur sājan meñ man rahtā hai

    rut biit chukī hai barkhā aur priit ke maare rahte haiñ

    rote haiñ rone vāloñ āñkhoñ meñ sāvan rahtā hai

    ik aah nishānī jiine rahtī thī magar jab vo bhī nahīñ

    kyuuñ dukh maalā japne ko ye tinkā tan rahtā hai

    ai mujh par hañsne aur kisī ko dekhne vaale ye to kaho

    yuuñ kab tak jaan pe bantī hai yuuñ kab tak joban rahtā hai

    dil toḌ ke jaane vaale sun do aur bhī rishte baaqī haiñ

    ik saañs Dorī aTkī hai ik prem bandhan rahtā hai

    mathe par Tika sandal ka ab dil ke karan rahta hai

    mandir mein masjid banti hai masjid mein brahman rahta hai

    zarre mein suraj aur suraj mein zarre raushan rahta hai

    ab man mein sajan rahte hain aur sajan mein man rahta hai

    rut bit chuki hai barkha ki aur prit ke mare rahte hain

    rote hain rone walon ki aankhon mein sawan rahta hai

    ek aah nishani jine ki rahti thi magar jab wo bhi nahin

    kyun dukh ki mala japne ko ye tinka sa tan rahta hai

    ai mujh par hansne aur kisi ko dekhne wale ye to kaho

    yun kab tak jaan pe banti hai yun kab tak joban rahta hai

    dil toD ke jaane wale sun do aur bhi rishte baqi hain

    ek sans ki Dori aTki hai ek prem ka bandhan rahta hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Qayyum Nazar

    Qayyum Nazar

    Source:

    urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 84)

    • Author: devendra issar
      • Edition: 1963
      • Publisher: sahityaa parkaashak maalbaara delhi
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now