Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mayusiyon ka aalam andaz-e-guftugu mein

Syed Masood Hasan Masood

mayusiyon ka aalam andaz-e-guftugu mein

Syed Masood Hasan Masood

MORE BYSyed Masood Hasan Masood

    māyūsiyoñ aalam andāz-e-guftugū meñ

    nākāmiyoñ mātam iz.hār-e-ārzū meñ

    muhtāj-e-ġhair kab thā qissa mirā tumhārā

    kyā daḳhl thā kisī aapas guftugū meñ

    afsāna-e-vafā qaa.em ho koī surḳhī

    āñkhoñ se ashk nikleñ Duube hue lahū meñ

    vo haiñ jafā ke ḳhūgar mujh ko vafā ḳhvāhish

    maiñ un justujū meñ vo merī justujū meñ

    manzil pe kyā pahuñchte allah re nā-murādī

    uTThe qadam to baiThā dil rāh-e-justujū meñ

    ġhāfil guloñ is meñ kal tak patā na hogā

    kyā mahv ho rahā hai duniyā-e-rang-o-bū meñ

    zāhid ko mai-kade meñ le aa.e kaash koī

    kambaḳht mar miTegā jannat aarzū meñ

    sau chaak ho rahe the har chaak se numāyāñ

    karte rafū kahāñ tak dāmān-e-ārzū meñ

    'mas.ūd' ek sāġhar kaafī thā bahr-e-ishrat

    kyoñ sharāb itnī kāñTā lagā gulū meñ

    mayusiyon ka aalam andaz-e-guftugu mein

    nakaamiyon ka matam izhaar-e-arzu mein

    muhtaj-e-ghair kab tha qissa mera tumhaara

    kya daKHl tha kisi ka aapas ki guftugu mein

    afsana-e-wafa ki qaem ho koi surKHi

    aankhon se ashk niklen Dube hue lahu mein

    wo hain jafa ke KHugar mujh ko wafa ki KHwahish

    main un ki justuju mein wo meri justuju mein

    manzil pe kya pahunchte allah re na-muradi

    uTThe qadam to baiTha dil rah-e-justuju mein

    ghafil gulon ka is mein kal tak pata na hoga

    kya mahw ho raha hai duniya-e-rang-o-bu mein

    zahid ko mai-kade mein le aae kash koi

    kambaKHt mar miTega jannat ki aarzu mein

    sau chaak ho rahe the har chaak se numayan

    karte rafu kahan tak daman-e-arzu mein

    'masud' ek saghar kafi tha bahr-e-ishrat

    kyon pi sharab itni kanTa laga gulu mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now