Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

madar-e-zist hai jis par wo sans hi kiya hai

Syed Bashir Husain Bashir

madar-e-zist hai jis par wo sans hi kiya hai

Syed Bashir Husain Bashir

MORE BYSyed Bashir Husain Bashir

    madār-e-zīst hai jis par vo saañs kiyā hai

    agar ho ishq se ḳhālī to zindagī kyā hai

    huzūr-e-dost ḳhabar ho ki be-ḳhudī kyā hai

    isī naam hai ġhaflat to āgahī kyā hai

    nafas nafas tirā sajda qadam qadam tirī raah

    jo zindagī se alag ho vo bandagī kyā hai

    na ab hai qurb ḳhvāhish na justujū-e-karam

    kisī ġham hai salāmat to phir kamī kyā hai

    banā diyā hai mire ishq nazar ne hasīñ

    tirī adā tire jalvoñ dil-kashī kyā hai

    nigāh-e-ishq se paidā to ho koī bijlī

    girī na husn ke dil par to baat kyā

    quyūd-e-lafz meñ dil sadā chhupī hai 'bashīr'

    hamāre sher haiñ kyā chiiz shā.irī kyā hai

    madar-e-zist hai jis par wo sans hi kiya hai

    agar ho ishq se KHali to zindagi kya hai

    huzur-e-dost KHabar ho ki be-KHudi kya hai

    isi ka nam hai ghaflat to aagahi kya hai

    nafas nafas tera sajda qadam qadam teri rah

    jo zindagi se alag ho wo bandagi kya hai

    na ab hai qurb ki KHwahish na justuju-e-karam

    kisi ka gham hai salamat to phir kami kya hai

    bana diya hai mere ishq ki nazar ne hasin

    teri ada tere jalwon ki dil-kashi kya hai

    nigah-e-ishq se paida to ho koi bijli

    giri na husn ke dil par to baat hi kya

    quyud-e-lafz mein dil ki sada chhupi hai 'bashir'

    hamare sher hain kya chiz shairi kya hai

    Source:

    (Pg. 116)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now