Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

madad ai KHayal-e-mazi zara aaina uThana

Siraj Lakhnavi

madad ai KHayal-e-mazi zara aaina uThana

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    madad ai ḳhayāl-e-māzī zarā aa.ina uThānā

    maiñ badal gayā huuñ ḳhud ki badal gayā zamānā

    mire ḳhāliq-e-gulistāñ ye samāñ na phir dikhānā

    ki ḳhud apnī raushnī meñ nazar aa.e āshiyānā

    ye hai jiddat-e-taḳhayyul to bhalā kahāñ Thikānā

    mileñ bijliyoñ ke tinke to banā.ūñ āshiyānā

    ye qafas qafas na rahtā nazar aatā āshiyānā

    mire bāl-o-par se pahle mire dil TuuT jaanā

    ye na pūchh phuul barse ki girī diloñ pe bijlī

    zarā dekh aa.ine meñ kabhī apnā muskurānā

    mirā ek ek aañsū ġham-e-fikr-e-do-jahāñ hai

    kabhī ḳhushk karnā dāman kabhī āstīñ sukhānā

    rag-o-pai meñ barq dauḌe yahī lutf-e-zindagī hai

    mire muskurāne vaale yūñhī muskurā.e jaanā

    mire shām-e-ġham zīnat mire āñsuoñ ke taaro

    tumheñ kaam kyā sahar se kahīñ tum na Duub jaanā

    kahūñ kyā 'sirāj' tum se jo guzar rahī hai dil par

    ye qafas zindagī aur ye bahār zamāna

    madad ai KHayal-e-mazi zara aaina uThana

    main badal gaya hun KHud hi ki badal gaya zamana

    mere KHaliq-e-gulistan ye saman na phir dikhana

    ki KHud apni raushni mein nazar aae aashiyana

    ye hai jiddat-e-taKHayyul to bhala kahan Thikana

    milen bijliyon ke tinke to banaun aashiyana

    ye qafas qafas na rahta nazar aata aashiyana

    mere baal-o-par se pahle mere dil ka TuT jaana

    ye na puchh phul barse ki giri dilon pe bijli

    zara dekh aaine mein kabhi apna muskurana

    mera ek ek aansu gham-e-fikr-e-do-jahan hai

    kabhi KHushk karna daman kabhi aastin sukhana

    rag-o-pai mein barq dauDe yahi lutf-e-zindagi hai

    mere muskurane wale yunhi muskurae jaana

    mere sham-e-gham ki zinat mere aansuon ke taro

    tumhein kaam kya sahar se kahin tum na Dub jaana

    kahun kya 'siraj' tum se jo guzar rahi hai dil par

    ye qafas ki zindagi aur ye bahaar ka zamana

    Source:

    Shola-e-Aawaz (Pg. e-42 p-41)

    • Author: Siraj Lakhnavi
      • Edition: 1920
      • Publisher: Nizami Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1920
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now