mahaz-e-qalb pe pahle nishan khinchta hai
mahāz-e-qalb pe pahle nishān khīñchtā hai
phir us ke baa'd vo apnī kamān khīñchtā hai
kuchh is tarah se bichhaḌne kī baat kartā hai
hamāre jism se jaise vo jaan khīñchtā hai
har ek jhuuT pe detā hai mansab-o-e'zāz
kahūñ jo sach to vo merī zabān khīñchtā hai
bas ek maañ kī du'āoñ kā lashkar-e-jarrār
hamāre gird hisār-e-amān khīñchtā hai
ye aur baat kashish hai zamīn meñ 'usmān'
mirā vujūd magar āsmān khīñchtā hai
mahaz-e-qalb pe pahle nishan khinchta hai
phir us ke ba'd wo apni kaman khinchta hai
kuchh is tarah se bichhaDne ki baat karta hai
hamare jism se jaise wo jaan khinchta hai
har ek jhuT pe deta hai mansab-o-e'zaz
kahun jo sach to wo meri zaban khinchta hai
bas ek man ki du'aon ka lashkar-e-jarrar
hamare gird hisar-e-aman khinchta hai
ye aur baat kashish hai zamin mein 'usman'
mera wujud magar aasman khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.