Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahakte phul jo har-su nazar mein rakhta hai

Zaheen Bikaneri

mahakte phul jo har-su nazar mein rakhta hai

Zaheen Bikaneri

MORE BYZaheen Bikaneri

    mahakte phuul jo har-sū nazar meñ rakhtā hai

    vo shaḳhs apnī udāsī ko ghar meñ rakhtā hai

    isī liye to bulandī hai us ke zer-e-qadam

    hunar uḌaan ke vo bāl-o-par meñ rakhtā hai

    hameñ to pyaar se dam bhar bhī nahīñ fursat

    tirā jigar hai jo nafrat jigar meñ rakhtā hai

    har ek rāhguzar us kyoñ na ho raushan

    tirā ḳhayāl jo apne safar meñ rakhtā hai

    isī liye mujhe ḳhūbiyāñ huiiñ hāsil

    vo merī ḳhāmiyāñ apnī nazar meñ rakhtā hai

    badal degā muqaddar sab lakīroñ ko

    vo e'timād jo dast-e-hunar meñ rakhtā hai

    'zahīn' faisle us par chhoḌ de saare

    baat baat ko kyoñ ḳhair-o-shar meñ rakhtā hai

    mahakte phul jo har-su nazar mein rakhta hai

    wo shaKHs apni udasi ko ghar mein rakhta hai

    isi liye to bulandi hai us ke zer-e-qadam

    hunar uDan ke wo baal-o-par mein rakhta hai

    hamein to pyar se dam bhar ki bhi nahin fursat

    tera jigar hai jo nafrat jigar mein rakhta hai

    har ek rahguzar us ki kyon na ho raushan

    tera KHayal jo apne safar mein rakhta hai

    isi liye hi mujhe KHubiyan huin hasil

    wo meri KHamiyan apni nazar mein rakhta hai

    badal hi dega muqaddar ki sab lakiron ko

    wo e'timad jo dast-e-hunar mein rakhta hai

    'zahin' faisle us par hi chhoD de sare

    tu baat baat ko kyon KHair-o-shar mein rakhta hai

    Source:

    Hunar Mehekta Hai (Pg. 66)

    • Author: Zaheen Bikaneri
      • Publisher: Sarjina, Bikaner
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now