mahakte se lamhon ki mahfil saji ho
mahakte se lamhoñ kī mahfil sajī ho
nigāhoñ meñ ulfat kī ik raushnī ho
jahāñ lab ye chup hoñ nazar kah rahī ho
vahāñ bhī tasavvur meñ kuchh zindagī ho
vo raste vo bāteñ vo maazī ke qisse
yahāñ har taraf har zabāñ shā'irī ho
kabhī jo hañsī meñ chhupā dard paa.eñ
vahī to hamāre diloñ kī ḳhushī ho
mahakte se lamhon ki mahfil saji ho
nigahon mein ulfat ki ek raushni ho
jahan lab ye chup hon nazar kah rahi ho
wahan bhi tasawwur mein kuchh zindagi ho
wo raste wo baaten wo mazi ke qisse
yahan har taraf har zaban sha'iri ho
kabhi jo hansi mein chhupa dard paen
wahi to hamare dilon ki KHushi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.