Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahbub-e-nazar aap ke chehre ki ziya hai

Nusrat Siddiqui

mahbub-e-nazar aap ke chehre ki ziya hai

Nusrat Siddiqui

MORE BYNusrat Siddiqui

    mahbūb-e-nazar aap ke chehre ziyā hai

    matlūb-e-jabīñ aap naqsh-e-kaf-e-pā hai

    ham ne tire jalve jise aks kahā hai

    logoñ ne use phuul unvān diyā hai

    hañste hue tāroñ galā ghoñT diyā hai

    sūraj shuāoñ ne baḌā zulm kiyā hai

    martā hai to mar jaa.e koī merī balā se

    mujh ko mire māhaul ne ye dars diyā hai

    āñkhoñ meñ haiñ aañsū ki añdherā hai pur-afshāñ

    jis chehre ko dekhā vahī dhuñdlā lagā hai

    mahbub-e-nazar aap ke chehre ki ziya hai

    matlub-e-jabin aap ka naqsh-e-kaf-e-pa hai

    hum ne tere jalwe ka jise aks kaha hai

    logon ne use phul ka unwan diya hai

    hanste hue taron ka gala ghonT diya hai

    suraj ki shuaon ne baDa zulm kiya hai

    marta hai to mar jae koi meri bala se

    mujh ko mere mahaul ne ye dars diya hai

    aankhon mein hain aansu ki andhera hai pur-afshan

    jis chehre ko dekha wahi dhundla sa laga hai

    Source:

    Lamha-e-Maujood (Pg. 67)

    • Author: Nusrat Siddiqui
      • Publisher: Hatim Bhatti
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now