Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahfil mein shor-e-qulqul-e-mina-e-mul hua

Shaikh Ibrahim Zauq

mahfil mein shor-e-qulqul-e-mina-e-mul hua

Shaikh Ibrahim Zauq

MORE BYShaikh Ibrahim Zauq

    mahfil meñ shor-e-qulqul-e-mīnā-e-mul huā

    sāqiyā pyāla ki tauba qul huā

    jin nazar chaḌhā tirā ruḳhsār-e-ātishīñ

    un charāġh-e-gor na tā-hashr gul huā

    banda-navāziyāñ to ye dekho ki aadmī

    juzv-e-za.īf mahram-e-asrār-e-kul huā

    dariyā-e-ġham se mere guzarne ke vāste

    teġh-e-ḳhamīda yaar lohe pul huā

    parvāna bhī thā garm-e-tapish par khulā na raaz

    bulbul tañg-hauslagī thī ki ġhul huā

    aa.ī tahī-daroñ na hargiz samajh meñ baat

    āvāza go buland misāl-e-duhul huā

    us bin rahā chaman meñ bhī maiñ 'zauq' dil-ḳharāsh

    nāḳhun se tez-tar mujhe har barg-e-gul huā

    mahfil mein shor-e-qulqul-e-mina-e-mul hua

    la saqiya pyala ki tauba ka qul hua

    jin ki nazar chaDha tera ruKHsar-e-atishin

    un ka charagh-e-gor na ta-hashr gul hua

    banda-nawaziyan to ye dekho ki aadmi

    juzw-e-zaif mahram-e-asrar-e-kul hua

    dariya-e-gham se mere guzarne ke waste

    tegh-e-KHamida yar ki lohe ka pul hua

    parwana bhi tha garm-e-tapish par khula na raaz

    bulbul ki tang-hauslagi thi ki ghul hua

    aai tahi-daron ki na hargiz samajh mein baat

    aawaza go buland misal-e-duhul hua

    us bin raha chaman mein bhi main 'zauq' dil-KHarash

    naKHun se tez-tar mujhe har barg-e-gul hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now