Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahfil se aaKHir uski nikalwae jaenge

Karamat Ali Shaheedi

mahfil se aaKHir uski nikalwae jaenge

Karamat Ali Shaheedi

MORE BYKaramat Ali Shaheedi

    mahfil se āḳhir us nikalvā.e jā.eñge

    sheḳhī se to baiThe the ik baar anqarīb

    vahshat bhare hue mire tevar ko dekh kar

    aatā nahīñ hai ab koī ġham-ḳhvār anqarīb

    vo din ga.e junūñ ke mudāvā ke vāste

    do-chār roz baiThe to do-chār anqarīb

    jins-e-vafā qadr gar iz.hār kījiye

    kahtā hai mujh ko yaañ se hai bāzār anqarīb

    ai bad-salīqa ye bhī qarīna hai bazm

    ushshāq duur baiTheñ aur aġhyār anqarīb

    le apne āshiyāñ ḳhabar jald jibra.īl

    pahūñchī hamārī āh-e-sharar-bār anqarīb

    duurī 'shahīdī' apnī samajh qusūr thā

    hai shah-rag-e-gulū se bhī yaañ yaar anqarīb

    mahfil se aaKHir us ki nikalwae jaenge

    sheKHi se ja to baiThe the ek bar anqarib

    wahshat bhare hue mere tewar ko dekh kar

    aata nahin hai ab koi gham-KHwar anqarib

    wo din gae junun ke mudawa ke waste

    do-chaar roz baiThe to do-chaar anqarib

    jins-e-wafa ki qadr gar izhaar kijiye

    kahta hai mujh ko yan se hai bazar anqarib

    ai bad-saliqa ye bhi qarina hai bazm ka

    ushshaq dur baiThen aur aghyar anqarib

    le apne aashiyan ki KHabar jald jibrail

    pahunchi hamari aah-e-sharar-bar anqarib

    duri 'shahidi' apni samajh ka qusur tha

    hai shah-rag-e-gulu se bhi yan yar anqarib

    Source:

    (Pg. 31)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now