mahfiloñ ko guzār paa.e ham
tab kahīñ ḳhalvatoñ pe chhā.e ham
haiñ udāsī ke kokh-jā.e ham
zindagī ko na raas aa.e ham
khaad paanī banā diyā ḳhud ko
silsile-vār lahlahā.e ham
nasl tāroñ kī zid lagā baiThī
isti.āre utaar laa.e ham
ruuh ke hoñTh sil ke hī maane
harkatoñ se na ba.az aa.e ham
farz ham par hai raushnī kā safar
nuur kī chhūT ke haiñ jaa.e ham
pyaas ko pyaar karnā thā keval
ek akhshar badal na paa.e ham
bas hamāre hī saath rahtī hai
kyuuñ udāsī ko itnā bhaa.e ham
mahfilon ko guzar pae hum
tab kahin KHalwaton pe chhae hum
hain udasi ke kokh-jae hum
zindagi ko na ras aae hum
khad pani bana diya KHud ko
silsile-war lahlahae hum
nasl taron ki zid laga baiThi
istiare utar lae hum
ruh ke honTh sil ke hi mane
harkaton se na baz aae hum
farz hum par hai raushni ka safar
nur ki chhuT ke hain jae hum
pyas ko pyar karna tha kewal
ek akhshar badal na pae hum
bas hamare hi sath rahti hai
kyun udasi ko itna bhae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.