Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahngai ka ab aaya hai tufan yaqinan

Rasheed Hasrat

mahngai ka ab aaya hai tufan yaqinan

Rasheed Hasrat

MORE BYRasheed Hasrat

    mahñgā.ī ab aayā hai tūfān yaqīnan

    toḌe haiñ hukmarānoñ ne paimān yaqīnan

    mazdūr ko pāband kiyā ghar pe biThāyā

    do vaqt ab us ko nahīñ naan yaqīnan

    insān tauhīn kabhī itnī nahīñ thī

    roTī hai girāñ ḳhuun hai arzān yaqīnan

    jis hukm pe dahqān mehnat sila zabt

    tahqīr ke laa.eq hai vo farmān yaqīnan

    jis gaañv meñ iflās meñ din ham ne guzāre

    ab hoñge vahāñ maut ke sāmān yaqīnan

    har zulm pe jab band rakhe aañkh qayādat

    tab taḳht ke taḳhte hai imkān yaqīnan

    jis shaḳhs ne tanvīr mujhe ilm baḳhshī

    us hai baḌā mujh pe ye ehsān yaqīnan

    jo dil ke khare un pe kaḌā vaqt bhale ho

    manzil bhī magar un hai āsān yaqīnan

    ai des miTTī tujhe shādāb rakheñge

    dahqān baḌhā.eñge tirī shaan yaqīnan

    mahngai ka ab aaya hai tufan yaqinan

    toDe hain hukmaranon ne paiman yaqinan

    mazdur ko paband kiya ghar pe biThaya

    do waqt ki ab us ko nahin nan yaqinan

    insan ki tauhin kabhi itni nahin thi

    roTi hai giran KHun hai arzan yaqinan

    jis hukm pe dahqan ki mehnat ka sila zabt

    tahqir ke laeq hai wo farman yaqinan

    jis ganw mein iflas mein din hum ne guzare

    ab honge wahan maut ke saman yaqinan

    har zulm pe jab band rakhe aankh qayaadat

    tab taKHt ke taKHte ka hai imkan yaqinan

    jis shaKHs ne tanwir mujhe ilm ki baKHshi

    us ka hai baDa mujh pe ye ehsan yaqinan

    jo dil ke khare un pe kaDa waqt bhale ho

    manzil bhi magar un ki hai aasan yaqinan

    ai des ki miTTi tujhe shadab rakhenge

    dahqan baDhaenge teri shan yaqinan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now