Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahrum-e-shahadat ki hai kuchh tujhko KHabar bhi

Yagana Changezi

mahrum-e-shahadat ki hai kuchh tujhko KHabar bhi

Yagana Changezi

MORE BYYagana Changezi

    Interesting Fact

    1912

    mahrūm-e-shahādat hai kuchh tujh ko ḳhabar bhī

    o dushman-e-jāñ dekh zarā phir ke idhar bhī

    hai jaan ke saath aur ik īmān Dar bhī

    vo shoḳh kahīñ dekh na le muḌ ke idhar bhī

    vo ham se nahīñ milte ham un se nahīñ milte

    ik nāz-e-dil-āvez idhar bhī hai udhar bhī

    ThanDā ho kalejā mirā is āh-e-sahar se

    jab dil tarah jalne lage ġhair ghar bhī

    allāh-rī be-tābī-e-dil vasl shab ko

    kuchh kashmakash-e-shauq bhī kuchh sub.h Dar bhī

    añgḌā.iyāñ le le ke uThe sāhab-e-mahfil

    kuchh niiñd bhī āñkhoñ meñ hai kuchh mai asar bhī

    ham māñgte kyuuñ jo yahī jānte saaqī

    phir jā.egī qismat tarah terī nazar bhī

    ham haath se dil thāme hue duur khaḌe haiñ

    dekheñ to koī letā hai kuchh is asar bhī

    ai jazba-e-dil dekh bahut ne kamī

    haañ aahoñ meñ ab chāhiye thoḌā asar bhī

    ab chup raho jo dil pe guzarnī thī vo guzrī

    aisā na ho phaT jaa.e kahīñ zaḳhm-e-jigar bhī

    mahrūm-e-shahādat tujhe kuchh sharm na aa.ī

    kam-baḳht galā kaaT ke jaldī kahīñ mar bhī

    bhārī hai musāfir pe bahut gor manzil

    sunte haiñ ki is raah meñ hai jaan Dar bhī

    vo kashmakash-e-ġham hai ki maiñ kah nahīñ saktā

    āġhāz afsos aur anjām Dar bhī

    khol āñkheñ zarā mast hai kyā sāġhar jam se

    hai gardish-e-ayyām kuchh tujh ko ḳhabar bhī

    lailī-e-shab-e-hijr ne bikhrā diye gesū

    mātam meñ mire chāk-e-garebāñ hai sahar bhī

    kis shaan se aatī hai mirī shām-e-musībat

    vo dekho jilau meñ hai qayāmat sahar bhī

    bujhtī huī ik sham.a huuñ kyā dam bharosā

    dushman hai mirī jaan ab āh-e-sahar bhī

    dekhe koī jaatī huī duniyā tamāshā

    bīmār bhī sar dhuntā hai aur sham-e-sahar bhī

    sahrā havā khīñche liye jaatī hai mujh ko

    kahtā hai vatan dekh zarā phir ke idhar bhī

    haañ kaT ga.ī shāyad tire dīvāne beḌī

    pichhle-pahar aa.ī thī kuchh āvāz idhar bhī

    kyā va.ada-e-dīdār ko sach jānte ho 'yās'

    lo farz karo aa.ī qayāmat sahar bhī

    allāh mubārak kare piirī sahar 'yās'

    marne tamannā thī to le ab kahīñ mar bhī

    mahrum-e-shahadat ki hai kuchh tujh ko KHabar bhi

    o dushman-e-jaan dekh zara phir ke idhar bhi

    hai jaan ke sath aur ek iman ka Dar bhi

    wo shoKH kahin dekh na le muD ke idhar bhi

    wo hum se nahin milte hum un se nahin milte

    ek naz-e-dil-awez idhar bhi hai udhar bhi

    ThanDa ho kaleja mera is aah-e-sahar se

    jab dil ki tarah jalne lage ghair ka ghar bhi

    allah-ri be-tabi-e-dil wasl ki shab ko

    kuchh kashmakash-e-shauq bhi kuchh subh ka Dar bhi

    angDaiyan le le ke uThe sahab-e-mahfil

    kuchh nind bhi aankhon mein hai kuchh mai ka asar bhi

    hum mangte hi kyun jo yahi jaante saqi

    phir jaegi qismat ki tarah teri nazar bhi

    hum hath se dil thame hue dur khaDe hain

    dekhen to koi leta hai kuchh is ka asar bhi

    ai jazba-e-dil dekh bahut tu ne kami ki

    han aahon mein ab chahiye thoDa sa asar bhi

    ab chup raho jo dil pe guzarni thi wo guzri

    aisa na ho phaT jae kahin zaKHm-e-jigar bhi

    mahrum-e-shahadat tujhe kuchh sharm na aai

    kam-baKHt gala kaT ke jaldi kahin mar bhi

    bhaari hai musafir pe bahut gor ki manzil

    sunte hain ki is rah mein hai jaan ka Dar bhi

    wo kashmakash-e-gham hai ki main kah nahin sakta

    aaghaz ka afsos aur anjam ka Dar bhi

    khol aankhen zara mast hai kya saghar jam se

    hai gardish-e-ayyam ki kuchh tujh ko KHabar bhi

    laili-e-shab-e-hijr ne bikhra diye gesu

    matam mein mere chaak-e-gareban hai sahar bhi

    kis shan se aati hai meri sham-e-musibat

    wo dekho jilau mein hai qayamat ki sahar bhi

    bujhti hui ek shama hun kya dam ka bharosa

    dushman hai meri jaan ki ab aah-e-sahar bhi

    dekhe koi jati hui duniya ka tamasha

    bimar bhi sar dhunta hai aur sham-e-sahar bhi

    sahra ki hawa khinche liye jati hai mujh ko

    kahta hai watan dekh zara phir ke idhar bhi

    han kaT gai shayad tere diwane ki beDi

    pichhle-pahar aai thi kuchh aawaz idhar bhi

    kya wada-e-didar ko sach jaante ho 'yas'

    lo farz karo aai qayamat ki sahar bhi

    allah mubarak kare piri ki sahar 'yas'

    marne ki tamanna thi to le ab kahin mar bhi

    Source:

    Kulliyat-e-Yagana (Pg. 168)

    • Author: Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Farib Book Depot (P) Ltd.
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now