Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahrumi-e-hayat ka hal DhunDte rahe

Syeda Shan-e-Meraj

mahrumi-e-hayat ka hal DhunDte rahe

Syeda Shan-e-Meraj

MORE BYSyeda Shan-e-Meraj

    mahrūmī-e-hayāt hal DhūñDte rahe

    ya.anī adā-e-husn-e-amal DhūñDte rahe

    fitrat ke ḳhush-gavār manāzir chhāñv meñ

    ham terī qurbatoñ badal DhūñDte rahe

    ham jhiil jhiil uḌte rahe hans tarah

    qismat meñ jo na thā vo kañval DhūñDte rahe

    vāraftagī-e-shauq aalam ajiib thā

    ham tum ko saare shahr meñ kal DhūñDte rahe

    aksar vo ham-kalām rahe der tak magar

    ham arz-e-mudda.ā mahal DhūñDte rahe

    yuuñ terī aarzū meñ guzārī hai zindagī

    sahrā meñ jaise tāj-mahal DhūñDte rahe

    ai 'shān' aarzū harī pattiyoñ ke biich

    jo shāḳh par nahīñ thā vo phal DhūñDte rahe

    mahrumi-e-hayat ka hal DhunDte rahe

    yani ada-e-husn-e-amal DhunDte rahe

    fitrat ke KHush-gawar manazir ki chhanw mein

    hum teri qurbaton ka badal DhunDte rahe

    hum jhil jhil uDte rahe hans ki tarah

    qismat mein jo na tha wo kanwal DhunDte rahe

    waraftagi-e-shauq ka aalam ajib tha

    hum tum ko sare shahr mein kal DhunDte rahe

    aksar wo ham-kalam rahe der tak magar

    hum arz-e-muddaa ka mahal DhunDte rahe

    yun teri aarzu mein guzari hai zindagi

    sahra mein jaise taj-mahal DhunDte rahe

    ai 'shan' aarzu ki hari pattiyon ke bich

    jo shaKH par nahin tha wo phal DhunDte rahe

    Source:

    Saahil Seep Samandar (Pg. 53)

    • Author: Syeda Shan-e-Meraj
      • Publisher: Takhleeqkar Publishers, Delhi
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now