Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahw hun main jo us sitamgar ka

Shefta Mustafa Khan

mahw hun main jo us sitamgar ka

Shefta Mustafa Khan

MORE BYShefta Mustafa Khan

    mahv huuñ maiñ jo us sitamgar

    hai gila apne hāl-e-abtar

    haal likhtā huuñ jān-e-muztar

    rag-e-bismil hai taar mistar

    aañkh phirne se terī mujh ko huā

    gardish-e-dahr daur sāġhar

    shola-rū yaar shola-rañg sharāb

    kaam yaañ kyā hai dāman-e-tar

    shauq ko aaj be-qarārī hai

    aur vaada hai roz-e-mahshar

    naqsh-e-tasḳhīr-e-ġhair ko us ne

    ḳhuuñ liyā to mire kabūtar

    merī nākāmī se falak ko husūl

    kaam hai ye usī sitamgar

    us ne āshiq likhā adū ko laqab

    haa.e likkhā mire muqaddar

    aap se lahza lahza jaate ho

    'sheftā' hai ḳhayāl kis ghar

    mahw hun main jo us sitamgar ka

    hai gila apne haal-e-abtar ka

    haal likhta hun jaan-e-muztar ka

    rag-e-bismil hai tar mistar ka

    aankh phirne se teri mujh ko hua

    gardish-e-dahr daur saghar ka

    shola-ru yar shola-rang sharab

    kaam yan kya hai daman-e-tar ka

    shauq ko aaj be-qarari hai

    aur wada hai roz-e-mahshar ka

    naqsh-e-tasKHir-e-ghair ko us ne

    KHun liya to mere kabutar ka

    meri nakaami se falak ko husul

    kaam hai ye usi sitamgar ka

    us ne aashiq likha adu ko laqab

    hae likkha mere muqaddar ka

    aap se lahza lahza jate ho

    'shefta' hai KHayal kis ghar ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now