mahz ye wahm hai ya hai mera apna saya

mahz ye wahm hai ya hai mera apna saya
Azeem-ul-Vaqaar Farhaan
MORE BYAzeem-ul-Vaqaar Farhaan
mahz ye vahm hai yā hai mirā apnā saaya
kaun ye chāñd kī nagrī se utar kar aaya
ajnabiyyat ke bhī ādāb huā karte haiñ
ajnabī thā to mujhe dekh ke kyoñ ghabrāyā
maiñ musāfir thā mirā haq thā har ik raste par
ye alag baat ki rastoñ ne mujhe bhaTkāyā
jab añdherā thā to ham donoñ meñ tafrīq na thī
chāñd ubhrā to judā ho gayā merā saaya
ye jo do patte haiñ kab in meñ se ik gir jaa.e
maiñ ne is daur meñ har ek ko tanhā paayā
vaqt ik āhanī dīvār bhī ban saktā hai
kitne lamhoñ ko TaTolā to ye nukta paayā
duur se kitne chamakte hue motī dekhe
jis ko nazdīk se dekhā use patthar paayā
ruuh kā raag to har shaḳhs ne chheḌā 'farhān'
jism meñ kyā thā ki har ik ne use Thukrāyā
mahz ye wahm hai ya hai mera apna saya
kaun ye chand ki nagri se utar kar aaya
ajnabiyyat ke bhi aadab hua karte hain
ajnabi tha to mujhe dekh ke kyon ghabraya
main musafir tha mera haq tha har ek raste par
ye alag baat ki raston ne mujhe bhaTkaya
jab andhera tha to hum donon mein tafriq na thi
chand ubhra to juda ho gaya mera saya
ye jo do patte hain kab in mein se ek gir jae
main ne is daur mein har ek ko tanha paya
waqt ek aahani diwar bhi ban sakta hai
kitne lamhon ko TaTola to ye nukta paya
dur se kitne chamakte hue moti dekhe
jis ko nazdik se dekha use patthar paya
ruh ka rag to har shaKHs ne chheDa 'farhan'
jism mein kya tha ki har ek ne use Thukraya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.