Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai-e-be-rang ka sau rang se ruswa hona

Asghar Gondvi

mai-e-be-rang ka sau rang se ruswa hona

Asghar Gondvi

MORE BYAsghar Gondvi

    mai-e-be-rañg sau rañg se rusvā honā

    kabhī mai-kash kabhī saaqī kabhī miinā honā

    az azal tā-ba abad mahv-e-tamāshā honā

    maiñ vo huuñ jisko na marnā hai na paidā honā

    saare aalam meñ hai betābī o shorish barpā

    haa.e us shoḳh ham-shakl-e-tamannā honā

    fasl-e-gul kyā hai ye merāj hai aab o gil

    merī rag rag ko mubārak rag-e-saudā honā

    keh ke kuchh laala o gul rakh liyā parda maiñ ne

    mujhse dekhā na gayā husn rusvā honā

    jalva-e-husn ko hai chashm-e-tahayyur talab

    kis qismat meñ hai mahrūm-e-tamāshā honā

    dahr se vo numāyāñ bhī hai pinhāñ bhī hai

    jaise sahbā ke liye parda-e-mīnā honā

    terī shoḳhī terī nairañg adaa.ī ke nisār

    ik na.ī jaan hai tajdīd-e-tamannā honā

    husn ke saath hai begāna-nigāhī maza

    qahr hai qahr magar arz-e-tamannā honā

    is se baḌh kar koī be-rāh-ravī kyā hogī

    gām-e-pur-shauq manzil se shanāsā honā

    mā.il-e-sher-o-ġhazal phir hai tabī.at 'asġhar'

    abhī kuchh aur muqaddar meñ hai rusvā honā

    mai-e-be-rang ka sau rang se ruswa hona

    kabhi mai-kash kabhi saqi kabhi mina hona

    az azal ta-ba abad mahw-e-tamasha hona

    main wo hun jisko na marna hai na paida hona

    sare aalam mein hai betabi o shorish barpa

    hae us shoKH ka ham-shakl-e-tamanna hona

    fasl-e-gul kya hai ye meraj hai aab o gil ki

    meri rag rag ko mubarak rag-e-sauda hona

    keh ke kuchh lala o gul rakh liya parda main ne

    mujhse dekha na gaya husn ka ruswa hona

    jalwa-e-husn ko hai chashm-e-tahayyur ki talab

    kis ki qismat mein hai mahrum-e-tamasha hona

    dahr hi se wo numayan bhi hai pinhan bhi hai

    jaise sahba ke liye parda-e-mina hona

    teri shoKHi teri nairang adai ke nisar

    ek nai jaan hai tajdid-e-tamanna hona

    husn ke sath hai begana-nigahi ka maza

    qahr hai qahr magar arz-e-tamanna hona

    is se baDh kar koi be-rah-rawi kya hogi

    gam-e-pur-shauq ka manzil se shanasa hona

    mail-e-sher-o-ghazal phir hai tabiat 'asghar'

    abhi kuchh aur muqaddar mein hai ruswa hona

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now