aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai-e-faraghat ka aaKHiri daur chal raha tha

Unknown

mai-e-faraghat ka aaKHiri daur chal raha tha

Unknown

MORE BYUnknown

    mai-e-farāġhat āḳhirī daur chal rahā thā

    subū kināre visāl chāñd Dhal rahā thā

    vo saaz lai ki nāchtā thā lahū ragoñ meñ

    vo hiddat-e-mai ki lamha lamha pighal rahā thā

    fazā meñ lahrā rahe the afsurdagī ke saa.e

    ajab ghaḌī thī ki vaqt bhī haath mal rahā thā

    sakūñ se mahrūm thiiñ tarab-gāh nashisteñ

    ki ik nayā iztirāb jismoñ meñ chal rahā thā

    nigāheñ dāvat mez se duur kho ga.ī thiiñ

    tamām zehnoñ meñ ek saaya chal rahā thā

    havā-e-ġhurbat lahr anfās meñ ravāñ thī

    na.e safar charāġh sīnoñ meñ jal rahā thā

    bhaḌak rahī thī diloñ meñ hasrat pyaas lekin

    vahīñ na.ī aarzū chashma ubal rahā thā

    badan pe taarī thā ḳhauf gahre samundaroñ

    ragoñ meñ shauq-e-shanāvarī bhī machal rahā thā

    na jaane kaisā thā inqalāb-e-sahar aalam

    badal rahī thī nazar ki manzar badal rahā thā

    mai-e-faraghat ka aaKHiri daur chal raha tha

    subu kinare visal ka chand Dhal raha tha

    wo saz ki lai ki nachta tha lahu ragon mein

    wo hiddat-e-mai ki lamha lamha pighal raha tha

    faza mein lahra rahe the afsurdagi ke sae

    ajab ghaDi thi ki waqt bhi hath mal raha tha

    sakun se mahrum thin tarab-gah ki nashisten

    ki ek naya iztirab jismon mein chal raha tha

    nigahen dawat ki mez se dur kho gai thin

    tamam zehnon mein ek saya sa chal raha tha

    hawa-e-ghurbat ki lahr anfas mein rawan thi

    nae safar ka charagh sinon mein jal raha tha

    bhaDak rahi thi dilon mein hasrat ki pyas lekin

    wahin nai aarzu ka chashma ubal raha tha

    badan pe tari tha KHauf gahre samundaron ka

    ragon mein shauq-e-shanawari bhi machal raha tha

    na jaane kaisa tha inqalab-e-sahar ka aalam

    badal rahi thi nazar ki manzar badal raha tha

    Source:

    meyaar (Pg. 355)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now