Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai-kada mere liye ja-e-tasadum to nahin

Munawwar Lakhnavi

mai-kada mere liye ja-e-tasadum to nahin

Munawwar Lakhnavi

MORE BYMunawwar Lakhnavi

    mai-kada mere liye jā-e-tasādum to nahīñ

    laakh nashsha hai magar hosh mire gum to nahīñ

    mo'tariz kyuuñ hai zamāna mirī betābī par

    ḳhāmushī adā hai ye takallum to nahīñ

    kyuuñ safīna mirī hastī ho ġharqāb-e-fanā

    jazr-o-mad dil hai dariyā talātum to nahīñ

    ab ḳhatā-kosh na hoñ mujh ko ye tambīh bhī hai

    ai ḳhatā-posh ye kuchh shān-e-tarahhum to nahīñ

    us fariyād kyuuñ tum pe asar hotā hai

    aur koī hai 'munavvar' ḳhudā tum to nahīñ

    mai-kada mere liye ja-e-tasadum to nahin

    lakh nashsha hai magar hosh mere gum to nahin

    mo'tariz kyun hai zamana meri betabi par

    KHamushi ki hi ada hai ye takallum to nahin

    kyun safina meri hasti ka ho gharqab-e-fana

    jazr-o-mad dil ka hai dariya ka talatum to nahin

    ab KHata-kosh na hon mujh ko ye tambih bhi hai

    ai KHata-posh ye kuchh shan-e-tarahhum to nahin

    us ki fariyaad ka kyun tum pe asar hota hai

    aur koi hai 'munawwar' ka KHuda tum to nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now