Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai-KHane ki raunaq hai juda shan-e-haram aur

Daood Kaashmiri

mai-KHane ki raunaq hai juda shan-e-haram aur

Daood Kaashmiri

MORE BYDaood Kaashmiri

    mai-ḳhāne raunaq hai judā shān-e-haram aur

    mai-kash mizāj aur hai zāhid bharam aur

    nākāmī-e-takmīl-e-tamanna hai ik āġhāz

    asbāb-e-ġham-e-jāñ to abhī hoñge baham aur

    kuchh dasht-navardī ke to kuchh koh-kanī ke

    afsāna-e-tash.hīr-e-vafā hoñge raqam aur

    paspā.ī pe āmāda jo sardāroñ ko dekhā

    ham le ke baḌhe ḳhūn-e-tamannā alam aur

    ik lafz tafsīr banā ḳhuun jigar

    hai ziist mafhūm ki maulā karam aur

    mai-KHane ki raunaq hai juda shan-e-haram aur

    mai-kash ka mizaj aur hai zahid ka bharam aur

    nakaami-e-takmil-e-tamanna hai ek aaghaz

    asbab-e-gham-e-jaan to abhi honge baham aur

    kuchh dasht-nawardi ke to kuchh koh-kani ke

    afsana-e-tashhir-e-wafa honge raqam aur

    paspai pe aamada jo sardaron ko dekha

    hum le ke baDhe KHun-e-tamanna ka alam aur

    ek lafz ki tafsir bana KHun jigar ka

    hai zist ka mafhum ki maula ka karam aur

    Source:

    Ajeeb-o-Ghareeb (Pg. 14)

    • Author: Dawood Kashmiri
      • Publisher: Mohammad Tahir Merchant
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now