Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai mile ya na mile rasm nibha li jae

Rahi Shahabi

mai mile ya na mile rasm nibha li jae

Rahi Shahabi

MORE BYRahi Shahabi

    mai mile na mile rasm nibhā jaa.e

    ḳhālī botal hai to ḳhālī uchhālī jaa.e

    ham bhī haiñ sīna-sipar aap bhī shamshīr-ba-kaf

    baat to jab hai koī vaar ḳhālī jaa.e

    ghar ke āñgan meñ ta.assub ye saḌtī huī laash

    kitne din biit ga.e ab to uThā jaa.e

    kyā ta.ajjub hai ki kuchh sote hue jaag uThīñ

    suunī bastī meñ ik āvāz lagā jaa.e

    kal jo aa.eñ vo añdheroñ meñ na bhaTkeñ 'rāhī'

    laao ik sham.a sar-e-rāh jalā jaa.e

    mai mile ya na mile rasm nibha li jae

    KHali botal hai to KHali hi uchhaali jae

    hum bhi hain sina-sipar aap bhi shamshir-ba-kaf

    baat to jab hai koi war na KHali jae

    ghar ke aangan mein tassub ki ye saDti hui lash

    kitne din bit gae ab to uTha li jae

    kya tajjub hai ki kuchh sote hue jag uThin

    suni basti mein ek aawaz laga li jae

    kal jo aaen wo andheron mein na bhaTken 'rahi'

    lao ek shama sar-e-rah jala li jae

    Source:

    Ek Lamha (Pg. B-285 E-291)

    • Author: Rahi Shahabi
      • Publisher: Haji Miyan Fayyazuddin
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now